Aaj kal hum facebook messenger ka upyog message bhejne ki liye hi nahi karte hai balki ham sabhi isse bohat kuch kar sakte hai. Facebook messenger se hum video calling voice calling messeges bhi karte hai. Iske liye aapko apne phone me koi alag plan lene ki jarurat nahi hum sab kuch messenger se hi karte hai. Agar apko video calling karni hai toh aap messenger ko open karke video wale icon click kaare toh video call start ho jati hai video call ke liye hame 3g ya 4g connection ki jarurat padti hai. Ye sab toh messenger ki basics thi. ab hum learn karenge ki messenger ki kuch secret tips and tricks.aaj kal android mobile toh hare k pass mil jayega aur hare k vykti facebook ka use karta hai. Agar facebook ka use karta hai toh wo messenger bhi use karta hoga. Aaj ki post me mai messenger ke bare me aisi tricks aur tips bataunga. Jo shayd aap abhi tak nahi jante hoge. Facebook ne messenger application par kuch aise aise features diye hai. Jinhe aapne abhi tak kabhi bhi use nahi kiya hai. Iska karan ye hai ki hume in features ke bare me abhi tak nahi pata tha.
Agar apne phone messenger app nahi hai toh download karne ke liye click kare
Facebook messenger ke top 5 secret tips and tricks
90% log messenger se msg bhejne ke liye hi use karte hai. Agar meri post jyada se jyada logo ke paas pahuchi toh message bhejne ke alawa in sabhi features ka bhi use karenge. Agar aap log in sabhi features ko check karoge toh apko sabkuch pata chal jayega jo aap abhi tak nahi jante the. Facebook ne kuch aisi free services di hai jinhe apko pta hona jaruri hai toh aaiye jaante hai kon si hai ye services.
1) Direct call to company
Facebook ne kuch aisi retail company se partnership ki hai. Jisse user in companies to direct messenger ke threw call kar sakta hai. Agar apko koi product mangwana ho toh aap messenger ke jariye aap koi product order kar sakte ho. Aapko shopping ki saari update messenger aap se hi mil jayegi.
Abhi tak sirf 2 companies ke saath hi partner ship hui hai. Abhi facebook ke sath everlane or zulily available hai lekin future me bohat si companiya facebook ke sath jud sakti hai.
2) Money Transfer
Ab baat aati hai money transfer ki toh man me yahi sawal aata hai ki facebook toh timepaas ke liye hai isse money kaise transfer hoga. Toh ye sochna apka bilkul wrong hai facebook ke jariye aap apne bank account se direct paise send kar sakte ho. Money send karne ki processing bohat hi easy hai bus aap apna facebook messenger open kariye jisko money send karna ho uski chat open kijiye ab thum icon ke bane right side ke 3 dots par click kijiye. Ab aapke saamne kuch option show honge unme se payment option ko select kare jitne paise bhejne ho aap utna money enter kare iske baad aap credit card, debit card, master visa, etc jo bhi apke pas ho use aap payment kar sakte ho. Ye karna bahut hi easy hai.
3) Sports Memes and gif sharing
Aap facebook messenger ke throw gif animation aur bhi bohat kuch send kar sakte ho. Sports Memes, gif ka option toh aapne pahle se hi dekha hoga.
Aap in sab ke sath sath aur bhi bohat kuch send kar sakte ho. Iske liye aapko karna hoga ye ki 3 dots par click kare jaise hi aap click karenge toh aapko bohat se option dikhenge jo apko use karna ho wo aap use kar sakte hai.
4) Location Share
Ye 3 tricks toh aapko acchi tarah se samajh me aa gyi hogi . ab baat aati hai location share kit oh mai apko location sharing ki bata deta hu. Messenger me aap apne friends ke sath chatting ke alawa location bhi share kar sakte hai. Location share karne ka process wahi sabse pahle aap 3 dots par click kare. Aapko location ka option dikhai dega. Aap location ke option par click karke aapko location tag karni hai. Aap chahe toh apni real location ya kisi aur jagah ki location apne dosto ke saath share kar sakte hai.
Whatsapp ko computer me install kare
Youtube ke video download kare
5) Desktop Me Bhi Use Kare Facebook Messenger
Abhi tak aapne suna hoga ki messenger ham kewal apne phone me hi use kar sakte hai. Lekin ab aap apne android mobile ke sath sath desktop me bhi messenger use kar payenge. Uska procces mai apko bata deta hu.
Aap apne computer me facebook messenger badi aasani se install kar sakte ho. Iska tarikha bilkul android mobile jaisa hai. Jaise abhi tak aap apne phone me apps install karte the waise hi aap apne computer ya laptop me kar sakte ho.
Agar content apko pasand aaya ho toh aap jyada se jyada ise share kare. Aur sabhi logo ki help kare
Thank You
0 Comments
अपनी राय यहाँ पर दे