Aak kal jyadatar log online job karke acchi income kar rahe hai. Lekin kuch log hi online paisa kamane me success hote hai. Kafi log nirash ho jate hai. Aur samjhte hai ki internet se paisa Kamana impossible hai. Lekin unka ye sochna bilkul galat hai. Online kamai karne ke liye aapko intjar karne ki Shakti honi chahiye. Aaj kal koi bhi aadmi ghar baithe paisa kama sakta hai. Lekin uske liye apke pas kuch talent hona bhi jaruri hai. Agar apko singing, data entry, writing, music, blogging, etc inme kuch bhi acchi tarike se aata hai toh aap online accha paisa kama sakate ho. Aaj ki post me mai apko Top 5 Online Make Money ke bare me bataunga. In sab me apko kuch bhi invest karne ki jarurat nahi hai ye sare tarike bilkul free of cost hai.




Kya Mai Bhi Online Paisa Kama  Sakta Hu?

Ji haan, aap bilkul online paisa kama sakte ho. Lekin uske liye apko computer and internet ki basic knowledge honi chahiye. Online paisa kamane ke liye apko kuch bhi khrch karne ki jaroorat nahi hai. Aaj mai apko is post me bataunga ki paisa kaise kamaye. Internet ke sansar me bohat si aisi sites hai jo apna kaam toh karwa leti hai par hamko paisa nahi deti hai. Lekin jyadatar galti hamari hi hoti ham lalach me aakar bina jankari ke us site ka kaam karne lagte hai aur jab wo apna kaam nikalwa leti toh phir aapka account bhi band kar deti hai. Isliye poori jankari liye bina apko kisi bhi site me kaam start nahi karna chahiye. Aaj jo mai apko bataunga wo sare tarike mai personal khud use kar chukka hu aur muje kafi fayda bhi hua hai. Aaj mai inhi sare tariko se paisa kama raha hu. Mera yahi lakshya hai ki desh me koi bhi admi berojagar nah rahe agar apko internet ki thodi bhi knowledge hai  toh aap online income kar satke hai.


Kitne Tarike  Hai Online Paisa Kamane Ke

Online paisa kamane ke tarike toh unlimted hai lekin aaj mai apko top 5  tariko ko bataunga jo india me bohat hi famous hai. Internet se paisa kamane ka basic funda hi ki jitni hum jyada se jyada mehnat hi karenge utni apki income badti jayegi. Aap yahi soch rahe honge ki internet se bina mehant kiye paise kamaye ja sakte hai toh apka ye sochna bilkul galat  hai hame paise kamane ke liye bohat mehnat karni padegi.


Ghar Me Baithkar Online Paisa Kaise Kamaye?

Muje pta hai ki aap meri bato me vishwas nahi karoge lekin ye bilkul sach hai. Aaj mai apko jo bataunga un tariko ko aap ek baar aajma kar jarur dekhen phir apko pta chal jayega. Ki mai sach bol raha hu ya zhooth

Must Read

Internet Se Paisa Kamane Ke 5 Tarike

1-    Blogging
Agar apko koi bhi cheez ke bare me acchi jankari hai toh aap apna ek blog bana sakte ho aur usme post add kar sakte ho. Jisme bhi aapko  accha interest ho us topic par aap blogging kar sakte ho. Lekin jis topic par apne blog banaya hai uske bare me apko acchi knowledge honi chahiye. Jab aapke blog me accha traffic ho jaye toh aap google adsense ki liye bhi apply kar skte ho adsense apko advertisement dega Ads se aapki income acchi hogi.

Agar aap video banane ke shaukeen hai . toh apko jo bhi topic acche se aata ho us topic par aap video banakar youtube par upload kar sakte ho uske baad video ko apne adsense account se jodkar apne video me ads dikha skte ho. Ads se apki acchi income hogi. Ek baat aur hai agar apke ads pr koi bhi click nahi bhi karta hai tab bhi adsense 1000 per view per 1$ deti hai.

3- Online Author
Agar aap books likhne ke shaukeen hai toh aap apni likhi hui books online hi publish karwa sakte ho aap e-books format book likh sakte ho., agar apke pas koi aisi story ya aur bhi koi content hai aur dunia ko aap btana chahte ho toh aap online books publish karwa skte books aap koi bhi prkar ki likh sakte ho jaise shayri music poem etc.
Books sell karne ki kafi sites hai jaise lulu.com pothi.com etc

4- Online Teaching Jobs
Agar aap ek acche teacher ho toh aap online tution dekar apni income bada sakte ho. Iske liye apke pas accha internet connection hona chahiye aur skype par ek account
Online teaching liye apko skillshare.com par register karna hoga aur jis bhi topoic par apko tution dena wo select kare . ab apka online hi ek test hoga agar aap test me pass ho gaye toh aapka selection ho jayega.

5- Translater Job
Agar apko 2 language ki accchi knwolegde hai to aap translating ki job kar sakte ho. Iske liye company apko accha pay karegi. Bus apko knowledge honi chahiye.
Iske liye apko translatorsbase.com site par register karke anuwad ka kaam shuru kar sakte ho.

Agar aapko ye post acchi lage toh jyada se jyada share kare. Taki desh me koi bhi aadmi berojgar na rahe share karne me aapko 30 second bhi nahi lagege.