Youtube
Ke Top 5 Secrets
vaise toh youtube me bohat sare secrets hai. lekin aaj mai apse top 5 secrets share karunga. toh aap acchi tarah se samjhiyega
1- Apne YouTube Page Ko Shakew Kare
jyadatar log youtube search box ka use videos search karne ke liye karte hai. lekin aaj mai apko bataunga ki search box se apne page ko shake kaise kare.apne page ko shake karne ke liye aap search box me type kare " do the Harlem Shake" jaise hi ye words type karegne aapka youtube page shake karna start ho jayega . hai na mazedar tricks
2- Video Ko Kahi Se Bhi Play Karen
youtube me jab hum koi bhi video dekhte hai. toh wo video start se buffering karta hai. lekin aaj mai apko bataunga ki aapka jaha se man ho waha se video play karna.Iske Liye sabse pahle aap apne browser me youtube open kijiye aur uske baad jo bhi video dekhna ho us video ko search kare. Ab jo bhi video ka URL ho uske last me aapko #t=01m05s ye code apko add karna hai. aap 01m ke jagah apko jitne minute se video dekhna ho aap wo add kar sakte ho. aur 05s ki jagah aap apna manpasand seceond add kar sakte ho,
3- Video Se Hataye Age Verification
youtube me kuch video sahi bhi hoti hai. tabh wo age vericfiacation mangti hai. usse hame kafi problem bhi hoti hai. lekin ab tention lene ki koi baat nahi hai. ye bohat hi simple sa tarikha hai. Aap Video ke URL me "watch?" ko hta de. Aur "v=" ki jagah "v/" type kar de. aapke video se age verifiacation hat jayega.
4- Youtube Ko Use Kare Smart TV Ki Tarah
Agar Aap ye trick ko use karoge toh youtube ko aap apne smart tv ki tarah use kar paoge. ye trick only Laptop/Compute me hi kaam karti hai. iske liye aap Chrome Browser Open Kare aur youtube.com/tv type kare aur open kare. Ab aap youtube ko aasani se apne keyboard se use kar sakte ho aapko ab mouse ki jaroorat nahi padegi. Koi bhi video search karne ke liye S button ka use kare. aur TV guide ke liye G ka use kare. Aur homepage ke liye ESC button use kare.
5- Youtube Ko Banaye Apna Music Player
India me slow internet ki bahut hi problem hai. har jagarh par high speed internet nahi. hai. lekin ab apko iski chinta karne ki koi jarurat nahi hai. Aap Chrome Web Store se Streams software free me download kar sakte ho. ye youtube ki video ko slow connection me music player ki tarah play karta hai.
Toh hai na mazedar tricks. aap ise jyada se jyada share kare share karne me paise nahi lagte hai. aur koi bhi problem ho toh comment jaroor kare.
0 Comments
अपनी राय यहाँ पर दे