Ham website ya blog bana toh lete hai. Lekin hamari site search engine me jaldi show nahi hoti hai. Agar website ko hame sabhi search engine me index karna hai. Toh iske liye hame SEO Ke sabhi steps kp acche se follow karna padega. Iske liye pahle Apko SEO ki jankari hona bohat jaruri hai. Lekin aaj mai apko aisi trick bataunga jisse aap 2-4 din me apni site ko sabhi search engines jaise google yahoo bing etc sabhi me show aasani se karwa skte ho.
Bahut se aise bloggers hote hai. Jo chahte hai. Ki hamari site serch engine me jaldi dikhne lage. Ki jo bhi kuch search kare aur hamari site aage aa jaye lekin aisa nahi hota tha. Toh unki sari problems ke solutions is post me mil jayege. Jo aapko tricks bataiyi ja rahi hai. Wo lagbhag 100% work karegi.  Sirf aapki 2-3 din me hi site search engine me index ho jayegi.

New bloggers ki yahi problem hoti hai. Jabh bhi wo site banate hai. Aur sochte hai ki hamari site jald se jald hi search engine me dikhne lage. Lekin unhe abhi tak is trick ki jankari nahi thi. Lekin ab new bloggers apni site ko 2 din me hi serch engine me asani se la skte hai. Agar aapne apni site  Google me manualy index nahi kiya hai toh apki site index hone me waqt le skti hai. Lekin aaj mai apko bataunga ki 2-3 din me index kaise kare.


center
">
New Website/Blog Ko 2-3 Din Me Search Engine Me Kaise Laye SEO Tips And Trick

Internet me aapko aisi bohat si sites mil jayegi. Lekin aaj mai apko jo site bataunga. Usse aap sabse fast tarike se apni site submit kar skte hai. Ab jaante hai Kaise Hogi Submit.

1- Sabse pahle apko freewebsubmission.com par jana hai.

2- ab apni site ka url, apna naam aur email id enter kare.

3- Neeche ki taraf aapke samne 20 search engines hoge. Jisme bhi aapko site submit karni ho. Unme aap tick laga de. Agar aapko 20 search engine me karni hai toh sabhi me tick laga de.

4- Ab submit your site par click kare.
Aur kuch der ka wait kare. Ab sabhi search engine's ke samne succes likha hoga.

5- Ab sabhi search engine's ki taraf se apko confirm mail aayega. Usme ek link di gayi hogi usme click karke aapko verify karna hai.


Aaj jo trick maine aapko batai hai. Wo 100% work karegi. Agar aapko kuch problem ho rahi ho toh aap comment karke help le skte hai.