Hello Friends mera naam hai rohit kumar gupta aur aaj mai All Help In Hindi Me laya hu ek naya topic jo kafi intersting bhi hai, jise padhkar aapko bhi kafi accha mahsoos hoga, toh chaliye aate hai apne topic me. Aaj ka topic hai ki exam me acche no lane ke liye padhai kaise kare.. Aaj kal yahi dekha ja raha hai ki har ek student top karna chahta hai. lekin sabhi to top ho nhi skte hai. jiske karan student dipression me chala jata hai. Aaj kal har ek student ke man me yahi sawal rahta hai ki padhai kaise kare jisse ham top kar ske. Maine kai students me ye pareshani dekhi hai ki padhai kaise kare. toh aaj mai apke sare swalo ka jawab dunga. jisse apko ye clear ho jayega ki padhai ko kaise karna chahiye. Toh aaj mai apko  aisi bate batainga jisse aap apni life me exam se kabhi nahi darenge. Iske sath aap achhi padai karke acche marks bhi layenge.




Exam Ko Top Karne Ke Liye Killer Tips 

Aaj jo bhi mai aapko tips dunga aap unhe seriasly lijiye. agar aapkene ye tips ko sahi se follow kiye toh mai guarnty deta hu ki aap acche student ke sath sath toper jarur banege.


1- Apna Ek Time Table Set Kare

Mera expiriance yahi hai ki bina time table banaye huye aap padhai nahi kar skte hai. agar aapne time table nahi banaya hai toh aap sabhi subjects me poora dhyan nahi de paoge..
maine apni jindgi me bohat sare students dekhe hai jo kahte hai ki exam se 1 ya 2 week pahle padhai kar lenge aur kuch toh aise hote hai . jo shortcut ke jariya acche marks lane ke koshis karte hai. Agar aap wakai me apni jindgi me kuch karna chahte hai. toh ye tarike acche nahi hai. inme aap marks toh le aaoge lekin aise marks ka kya fayda jo cheating karke hasil kiye gaye ho, aisa karke student exam me toh acche marks se pas ho jata hai. lekin baat jab comptition exams ki aati hai. tab uski asal baat pta chal jati hai. ki ye student kitna achha hai padhne me. toh ham baat kar rahe the time table ki aapko sabhi subjects me pura dhyan dena chahiye. jab bhi aapka naya saal ya semester start hota hai. tabhi aapko ek time table bana lena chahiye. aur jo bhi subject me apko jyada problem aati hai. usme aap vishes dhyan de lekin iske liye apko time table me nahi jodna chahiye aap iske liye alag se samay nikale.



2- Apni Classes Daily Attend Kare

Mere dosto agar aap exam ke pahle se tention se bachna chahte hai. toh aapko apni classes bunk nahi karna chahiye apko roj apni classes attent karte rahna chahiye. Classes attendt karna isliye jaruri hai kyoki jo bhi teacher hamko padhate hai wo hamko jaldi samajh me aa jata hai. kuch log ye sochte hai ki koaching pdne se hi sabkuch ho jata hai, lekin aisa nahi. hai. aapko apni classes dailye attend karna chaahiye.



3- Exam Ke Time Tention Free Rahe

Kuch log aise hote hai jinko exam ka kafi pressure rahta hai. aise me hamko jo acche se ata bhi hai wo bhi ham bhool jate hai. exam ke time apko tention lene ki jrurat nahi hai. agar aap upar bataye gaye dono steps ko sahi se follow karoge toh apko tention bilkul bhi nahi hogi bas aapko mehnat karni hogi. kyoki duniya me bina mehnat ke kuch bhi nahi kar skte hai. Exam ke time aap yoga bhi kar skte hai jisse apke man ko kuch shanti milegi. jab aap exam doge  tab aapko tention bilkul bhi nahi hogi . toh aap yoga bhi kar skte hai.


4- Apne Dosto Ke Sath Padhai Kare (Group Study Kare)

Exam ke time padhai karne ka ye tarika sabse best tarika hai. group study se aapko naye naye ideas sikhne ko milte hai. jo aapko nahi aata hai wo bhi aap grop study se sikh jate hai. agar dost apke sath hai toh unke sath thodi bohat masti bhi ho jayegi jisse aap apne ko fresh mahsoos karoge.  aapko kuch na kuch naya sikhne ko milega jo apke exam ke time apko help karege. ek baat aur bhi hai jo aapko achhe se aata nahi hai wo aaap apne dost se clear kar skte hai. Group Study se exam ka pressure kafi had tak kam ho jata hai. jisse aap apne exams acche se de payege.



5- Subah Uthkar Padai Kare


kuch students aise hote hai. jo puri rat jagkar padhai karte hai aur subah apne aap me thakavat mahsoos karte hai. aapko jyada der tak raat me padhai nahi karni chahiye.Agar aap rest nahi karoge toh apko tention badega aur apko kuch bhi nhai yaad rahega .iska yahi solotion hai ki aap raat me jyadader tak na padhe aur subah jaldi uthkar apna couse revise kare. kyoki subah ke cheeje hamko jyada yaad rahti hai.,

Note- Agar aap in sabhi steps ko acche se follow karoge. toh apko  exam ke time koi bhi samsya nahi hogi. lekin aapko topper banne ke liye hard work karna padega.

Request- Agar ye post apko acchi lage toh apne dosto ke sath jarur share kar aur aap hamari site par aiasi ho bane rahiye aur bhi aapko bohat sari cheeje sikhne ko milegi.