India me slow internet ki bohat problem dekhi ja rahi hai. Aap jis speed ka bill payment kar rahe hai utni speed apko nahi milti hai. Agar aapko choti se choti bhi file download karni padti hai toh usme bhi aapko kafi waqt lag jata hai. Vaise toh wi-fi ki speed badane ki bohat si tricks hai lekin jyadatar tricks work nahi karti hai  aaj mai apko self  tested tricks bataunga.
10 Minute Me Badhaye Apne WIFi Ki Speed




 Isliye aaj ki post me mai apko bataunga ki apne slow wi-fi connection ki speed kaise badaye. Jo tarike aaj mai apko bataunga usse apke slow internet ki problem jarur door ho jayegi. Mai yahi ummid karta hu ki ye post aapke liye jarur acchi sabit hogi.

Kaise Badhaye Wi-Fi Connection Ki Speed

Slow internet ek bohat badi problem banti ja rahi hai. Jis hisab se  tech ke chhetra me progress hoti ja rahi hai. Toh uske liye hamare pas high speed  internet hona jaruri hai. Neeche mai apko kuch tips bata raha hu. Agar aap sabhi tips ko sahi se follow karogo. Toh apke wifi ki speed jarur badegi.

Router Ki Location Ko Change Kare-
Internet ki speed jyada karne ke liye sabse simple tarika yahi hai. Ki aap apne wifi router ki location ko change kar de. Aapko wifi router ki aisi jagah par rakhna chahiye jaha se singnal kharab na ho. Agar aapne wifi router ko kisi electronic device par rakha hai. Toh aisi condition par signal kharab ho jate hai. Isi vajah se bar bar net disconnect ho jata hai. Isliye aapko is bat ka dhyan dena hoga ki apko wifi router ko kaha par rakhna hai jisse ki apke signal kharab na ho aur aap acchi internet speed pa ske.
Aap internet router ko hamesh 6 feet ki unchai me hi lagaye. Aap router ko ghar ki bahri deewar par bilkul na lagaye isse signal ghar ke bahar jyada jayege. Aur apko speed kam milegi.

Router Par Jode Ek Accha Antena-
Kabhi kabhi aisa hota hai ki ham ek jagah se dusri jagah par router ki nahi le ja skte hai. Ya fir speed ko jyada karne ke liye kafi nahi rahta hai. Aise me aap antenna ko replace karna speed badane ke liye aapka agla kadam ho skta hai. Wifi me antenna ki jodna apki signal strength ko increase karne me madadgar sabit ho skta hai.

Read

Happy Holi 2016 Images ,Wallpapers ,SMS ,Wishes ,Quotes In Hindi (होली क्या है और इसे क्यों मानते है जानिए हिंदी में )


Settings Update-
Wifi signal ko boost karnae ke liye aapko settings lagatar update karte rahna chahiye. Speed badane ke liye ye ek accha tarika hai. Agar aap Microsoft ki guidelines ko follow kare toh iske software aur data ko hamesha update karte rahe. Isko update karne ke liye ap service provider ko bhi help le skte ho.

Back Ground Task-
Agar aap smartphone me net ka use wifi router se karte hai. Toh iske liye aapko apne phone ya tablet me chal rahi background apps ko close karna hai. Kuch faltu ki apps hoti hai jo apke internet ki speed ko slow kar deti hai. Toh iske liye aap aisi apps ko uninstall kar de ya fir aap unko force closed kar de. Bekar ki apps ko band karne ke liye aap task killer jaise apps ka use kar skte ho. Apps ko closed karne ke baad aap apne intenet ki speed ko behtar mahsoos karenge.

Must Read

Kisi Ko Bina Bataye Uske Massages Chat Kaise Padhe In Hindi

Last Word
aaj ki post me maine apko bataya ki wifi ki speed kaise badaye. is post me maine wifi ki speed badane ke kuch simple se tricks batai lekin ye tricks ko aap sahi se use karke aap apni wifi ki speed jarur bada skte hai. agar aapko post acchi lagi ho toh aap apne dosto ko sath jarur share kare.