Android Lock Kitni Tarah Ke Hote Hai?
Sabse pahle aapko ye jan lena bohat jruri hai ki ki android me lock kitni tarah ke hote hai. vese android me lock 3 tarah ke hote hai.
(i) Pattern
(ii) English Keyword
(iii) Math word
agar aap english ya math words ka use karke lock set karte hai. toh aap apne phone me kitni bhi bar galat keyword dale apka phone hamesha ke liye lock nahi hota hai.
lekin agar baat pattern ki kee jaye toh agar aap 6-7 bar wrong pattern dalte hai. toh apka phone hamesha ke liye lock ho jata hai. aur apko kisi mobile reparing shop ya computer shop me le jakar usko unlock karwana padta tha. lekin ab aapko kisi bhi shop me jane ki jarurat nahi hai. ye kam aap khud kar skte hai wo bhi badi aasani se.
Computer/Laptop Me Android Apps Kaise Use Kare
Android Mobile Ka Pattern Kaise Unlock Kare Without Gmail & Internet
Step-1 Sabse pahle aap apne android phone me Power On Off + Volume Down ki buttons ko ek sath press kare.
Step-2 Buttons ko aap 5-6 second tak press karte rahe. 5-6 second ke baad apke samne aisi picture open hogi.
Step-3 Ab aap Volume Button ki help se "Wipe Data/Factory Reset" par aaye. aur Power Button ko press kare.
Step-4 Press karne ke baad apka phone reset hona start ho jayega. aur apka pattern unlock ho jayega.
Note- jab aap apne phone ko reset kare. uske pahle aap apne memory card ko phone se bahar nikal le. aur phone reset hone ke waqt aap phone ko off ya phone ko battery ko bahar na nikale. agar aap aisa karte hai toh apka phone dead ho skta hai.
Last Word
toh dosto aaj ki post me maine apko bataya ki agar aap apne phone ka pattern bhool gaye ho toh use bina gmai account ke kaisi unlock kare. ye trick jyadata phones me kam karti hai. agar apke phone me ye trick work nhi kar rahi hai. toh aap kisi mobile shop me jakar apne phone ke pattern ko unlock karwa skte hai. Agar aapko kuch bhi problem ho rahi ho toh aap comment karke apna question pooch skte hai.
Hamari Aur Post Bhi Padhe
1 Comments
ReplyDeletevery awesome article.Since i admired your article so much Thank you author for the fabulous article been posted.Its very useful for me to learn how the pattern lock should be unlocked
http://www.wikitechy.com/fix-error/factory-reset-steps-in-android-mobiles
अपनी राय यहाँ पर दे