Hello Friends ,
Aaj ki post me ham seekhege ki rooted phone ko unroot kaise karte hai. agar aap apne phone ko root kar chuke hai. aur ab aap apne phone ko unroot karna chahte hai toh ye trick apke liye helpful jarut sabit hogi. Phone ko root krne ki post toh aap bohat si sites me padh chuke hoge.lekin unroot ki post aapne hindi me kahi bhi nahi padhi hogi. Toh aaj mai apke liye unroot ki post lekar aaya hu. Mere kai dosto ne pucha kya phone ko unroot bhi kar skte hai. toh maine kaha ha. aap apne phone ko unroot kar loge toh aur agar apka phone guaranty me chal raha that oh apki guarany me fir se aa jayega. Root karne ke jitne advantage hai toh utne hi disadvantage bhi. Agar aapne phone root kar liya hai aur apke phone me koi bhi galat file aa gayi hai toh apka set kharab bhi ho skta hai. agar apko aisa lagta hai ki maine phone ko root karke sahi nahi kiya toh aap phone ko unroot krke guaranty period me wapas la skte hai.





Pichli post me maine apko kitkat se lollipop me kaise update kare ye bataaya tha. Agar aap apne purane android version ko naye version me change karna chahte hai toh apko ye post jarur padhni chahiye. Is post ke jariye aap badi aasani se apne phone ko update kar skte hai. toh aate hai apni post par ki android phone ko unroot kaise kare.

Android Phone Ko Unroot Karne Ki Taiyari

Apne Phone Ka Pura Backup Le





Mobile Ki Battery Ko 70% Charge  Kar Le

Android Phone Ko Unroot Kaise Kare

Aaj mai apko unroot karne ke 2 method batane ja raha hu. Aur dono tarike bilkul easy hai. bas apko acche se samjne hoge.

Method 1

Is tarike me apko Super Su app download karni padegi. Is app ki madad se aap apne phone ko unroot badi hi asani se kar skte hai





Step-1  Sabse pahle aap Super Su app ko install kar le

Step-2 Install karke app ko open kare aur aur settings par tap kare aur unroot par click kare.

Step-3 ab apke samne ek popup open hoga usme aap continue par click kare.

Step-4 ab apka phone  unroot hona suru ho jayega. Jab Super Su app band ho jaye. Tab aap apne phone ko ek bar restart kare aur Super Su app ko unistall kar de. Aapka phone unroot ho chukka hai aap root checker se check kar skte hai.

Method 2

Aagar apko phla tarika pasand na aaya ho toh aap ye tarika use kar skte hai isme aapko es flile manager se  unroot kar skte hai.

Step-1 Es File Explorer ko install karke open kare

Step-2 ab aap mene ko select kare. Aur root explorer par click karke use on kar de.

Step-3 Homepage ko select karke device par click kare  jaise ki screenshot me bataya gya hai.


Step-4 ab aap system folder par click kare. System folder ke andar xbin folder ko open kare. Isme apko busybox aur su files ko search kar aur done files ko delete kar de.

Step-5   ab ap system folder ke andar app folder me click kare usme aap thesupeuser.apk file ko delete kar de.

Ab phone ko restart kare. Aur root checker se check kare apka phone unroot ho chukka hoga.

I hope ki ye post apko jarur pasand ayi hogi. Isme apko do tarike bataye apko jo bi tarika accha lage use ap phone ko unroot karke pahle jaise kar skte hai. agar apko kuch problem ho rahi ho toh aap comment krke muje bata skte hai,