computer ya laptop me android apps use karne ke liye aapko android emulators software ki jarurat padti hai. aaj ki post me mai apko ek aisa app bataunga jo duniya me sabse jyada popular hai. vese toh aapko market me na jane kitne android players mil jayege. lekin sabhi android players acche nahi hote hai. jyadatar android players se hamare computer ki speed slow ho jati hai. aur hamara computer hang hone lagta hai. Lekin aaj jo apps mai apko bataunga usse apke computer ki speed slow nahi hogi. aur aap acchi tarah se android apps aur android games ka maza apne compute me le skte ho.
toh aaiye fir jaante hai ki is software ka kya naam hai.
Iska naam hai Bluestacks. is software ki help se aap koi bhi app apne computer me run kar skte ho aur use kar skte ho.
Maine pichli post me aapko android se releted jankari di thi. maine usme bataya tha ki aap apne android phone se paisa kaise kama skte ho. is post me maine apko 5 best android apps bataye the. jisse aap permonth acchi khasi income kar skte ho agar apne post nahi padha hai toh yaha click kare
toh ab aate hai apni post par ki bluestacks software ko kaise use kare
Read Also
Idea Easy Share Kya Hai Aur Idea Me Internet Data Kaise Share Karte Hai Learn In Hindi
Bluestacks Se Pc Me Android App Kaise Use Karemarket me na jane kitne apps hai jinse aap android app ko pc me run kar skte hai. lekin bluestacks duniya me sabse jyada use kiya jata hai. bluestacks adhikatar sabhi android apps ko support bhi karta hai. Bluestacks software bilkul free hai. iske liye aapko ek bhi paisa kharch karne ki jarurat nahi hai. lekin agar aap iske premium version ka use karna chahte hai toh iske liye aap 2$/permonth dene padege. premium version me sponserd app automatic install nahi hoge.
Bluestacks Ko Download Karne ke liye click kare,
Read Also
Android Rooted Phone Ko Unroot Kaise Kare Step By Step
How To Use Free Internet On Idea In 2G/3G Speed (आईडिया में फ्री इन्टरनेट कैसे चलाये सीखे हिंदी में)
Step-1 : Sabse pahle aap blustacks software ko download karke install kare aur fir ise open kare.
Step-2 : Ab aapke samne ek new window open hogi. usme apko ek search box dikhega. ab apko jo bhi app apne computer me install karni hai. wo us search box me type kare aur search kare. jaisa ki mai whatsapp ko install karna chahta hai toh maine whatsapp ko search kiya hai.
Step-3 : ab apko apna gmail account add karna hoga. agar aap apna account nahi add karna chahte hai toh aap new account bana skte hai.
Step-4 : Account setup ke bad aapko aisi pic dikhai degi. usme aap Let'go par click kare.
Step-5 : Ab aapko app ko install karna hai. install par click kare.
Step-6 : jaise ki mera whatsapp install ho chuka hai. ab aap apps ka maza le skte hai.
Agar apko post acchi lagi ho toh plz apne dosto ko jarur bataye aur share bhi kare. agar post me kuch kami ho toh aap comment karke jarur bataye.
hamari Aur Post Bhi Padhe
0 Comments
अपनी राय यहाँ पर दे