Agar Aap Idea sim ke user hai. Toh aapne Easy share ka naam suna hi hoga. Tv Radio Internet sabhi jagah iske bohat se advertisement aate hai. Lekin usme ye nahi bataya jata hai ki ise use kaise kare. Ye use me kaise laya jata hai. Aur ham isse kya kya share kar skte hai. Easy share pahle Aapne IIN(Idea Internet Network) ka naam suna hoga. Ye Idea ki hi ek service thi. Toh easy share ke pahle mai aapko IIN ke bare me details de deta hu. Ye apko janna bohat jaruri hai Ki IIN kya hai.
IIN Kya Hai?
IIN koi platform nahi tha. IIN ek mission tha jiske dwara logo tak internet ko pahuchana tha. Jinko kuch bhi seekhne ki iccha adhuri rah gayi thi wo Internet se seekh skte the. Kuch logo ne IIN par jokes banaye. aur bohat mazak udaya. ab IIN service band ho chuki hai. Is service ke baad Idea ne easy share service ko launch kiya.
Idea Easy Share Se Hame Kya Fayde Hai
Is service se hamko kafi fayde hai. Is service ke jariye aap apne dost ya kisi bhi ristedar ko minutes, Data, Sms badi aasani se share kar skte hai. Ye service company ne apni Growth badane ke liye start ki hai. Lekin isse hamko kafi fayda mil raha hai. Aur ye service prepaid aur postpaid dono users ke liye hai. Postpaid aur Prepaid dono users is service ka use asani se kar skte hai.aap is service se 250Mb tak data share kar skte hai.
Idea Easy Share Ko Kaise Use Kare (Minutes Data SMS dusri sim me transfer kare)
1- Aapko apne idea ke sim se sabse pahle *121*121# dial karna hoga.
2- Ab ek popup message khulega. Jaise ki aap dekh skte ho.
3- Isme 3 Options Aayege
i) Share Internet
ii) Share Minutes
iii) Share SMS
4- Agar Aap internet share karna chahte hai. Toh aap 1 option ko select kare.
Android Rooted Phone Ko Unroot Kaise Kare Step By Step
Kitkat Ko Lolipop Me Update Kaise Kare In Hindi
5- yaha par 3 plan aayege. 100Mb 150Mb 250Mb. Aapko jitna share karna hai use select kare
6- Ab apko apne friend ka no enter karna hai.
Kuch der baad apke pas confirmation msg mil jayega. Kabhi kabhi share hone me time bhi lag jata hai.
Toh friends aaj ki post bohat hi useful thi. Agar post acchi lagi ho toh apne dosto ke sath share jarur kare
0 Comments
अपनी राय यहाँ पर दे