Android OS duniya me sabse jyada popular hai operating system hai. jise aaj kal har koi use karta hai. jyadatar mobile tablets   android operating system par hi kam karti hai. android me ham play store se na jane kitne apps aur game download kar skte hai. google play store me roz naye naye games aur applications update hoti rahti hai. samay se sath sath game aur application hamare purine android versions me kam nahi karti hai. toh iske liye hame apna android OS ko update karne ki jarurat padti hai. kafi logo ne mujse ye pucha ki android 4.4.4 kitkat ko lollipop me kaise update kare. Isiliye aaj mai iski jankari is post me step by step dunga is post se aap acchi tarike se samaj jayege ki apne purane android version ko kaise update kare.





Agar aapka purana android version hai toh aap new new games aur application ka maza acchi tarike se nahi le skte ho. Kyoki market me aisi bohat se application aa gayi hai. jo kitkat 4.4.4 ko support karna band kar diya hai. iske liye hame bohat jaruri hai. ki apne android os ko jald se jald update kar de. Pichi post me maine apko bataye tha ki agar aap android user hai toh apko internet packs ka recharge karwane ki koi jarurat nahi aap  idea ki sim me free internet chala skte hai. is post ko aapko jarur padhna chahiye, toh ab aate hai apne topic par ki kitkat 4.4.4 ki lollipop me kaise update kare

Android OS Update   Karne Ke Liye Requirement





1 aapke phone me battery 50% charge honi chahiye
2 Apke phone me 3G/WiFi hona chahiye.
3 Phone Ki internal storage me 1 GB ka space hona chahiye.
4 AndroidOS unhi phone me update ho skta hai jime company se hi update provide karai gayi ho 

Android Version Ko Update Kare Step By Step

Android version ko update karne ka mai sabse easy tarika bata raha  hu. Agar apko kuch dikkat ho rahi ho toh aap comment karke apni problem bata skte hai.
Step-1  Apne Phone ki Settings me jaiye. Aur About option par tap kare






Step-2  Ab Wireless update par tap kare

Step-3 Ab apko check for update ka option aayege us par tap kare. Agar aapke phone me company dwara update provide karwai gayi hogi toh apka phone update hona start ho jayega.
Jab apka phone update ho jayega tab ek bar restart hoga.

Note- Agar aap phone ko restore karte hai toh apki update chali  jayegi. Apka phone  pahle jaisa fir ho jayega.
Toh dosto kaisi lagi ye post agar apko kuch bhi samsya ho rahi toh comment karke apni problem hamare sath share kar skte hai.

Hamai Aur Posts Bhi Padhe Aur Seekhe