Aaj kal market me smart tv kafi costly hai. Smarttv har aadmi ki pahuch me nahi hai. Agar aapke pas normal tv hai toh ham usko bana dege smartTv. Aap apne mobile ko tv se connect karke internet badi screen me chala skte hai. Jo bhi aap mobile me karege wo sab aapko apni tv me dikhega. Aur aapki normal tv smary tv ho jayegi. Lekin iske liye aap Google Chrome cast ki jarurat padegi. Bina Google chrome cast ke ham mobile phone ko tv se connect nahi kar skte hai.
Smart Tv Ke Liye Requirements
Tv ko smart banane ke liye aapko 3 cheejo ki jarurat padegi. Jo
1- HDMI ya USB Port vala Tv
2- Mobile Me Wi-Fi Hona Chahiye
3- Google Chromecast Device
Airtel Me Free Internet Kaise Chalaye
ChromeCast Device Kya Hai?
Chromecast ek chhota sa device hota hai. Jo bilkul pendrive ki tarah dikhta hai. Chromecast wifi par kam karta hai. Chrome cast jab mobile se connect ho jata hai tab ham jo bhi mobile me karte hai wo sab ham tv me dekh skte hai. Agar ham phone me koi game play karege wo Tv me aapko dikhai dega. Chromecast aapki tv me HDMI port me lagta hai. Isliye aapki tv Me HDMI port hona bohat jaruri hai.
Mobile Ko Tv Se Kaise Connect Kare
Mobile ko T.V. se connect karne ke kuch steps hai jo mai aaj apko batane wala hu. Ise karn bohat hi easy hai. Aap asani se mobile ko t.v. se connect kar skte hai.
1. Aap Chromecast ko HDMI port me laga de.
2. Ab T.V. ke remote se Saurce Button press karke. HDMI select kare.
3. Ab aapko jis mobile ko connect karna hai. Usme aap playstore se Chromecast Application Download kare.
4. ISKE baad aap mobile ka wifi on karke chromecast connect kar le. Bas fir kya jo bhi aap mobile me karoge wo apko T.V. me dikhai dega.
ChromeCast Kaha Milega Aur Iski Kya Keemat Hai ?
Chromecast aapko online shopping store me milega. Aap kisi bhi popular site me visit karke chromecast khareed skte hai. Iski keemat lagbhag 2999 Rs hai.
Agar aap chromecast khareedna nahi chahte hai toh aap chrome cast jaisa other company ka device khared skte hai. Wo bhi aapko online shoppimg store me mil jayega.
Agar Aap ChromeCast Khareedna Chahte Hai Toh Yaha Click Kare
Final Words
Toh dosto aaj maine aapko bataya ki aap apni normal T.V. ko smart tv badi aasani se bana skte hai. Agar aapko post helpful lagi ho toh apne dosto ko bhi bataye aur is post ko share bhi kare.agar aapko connect karne me kuch problem ho rahi ho toh comment karke hame bataye.
1 Comments
Yes
ReplyDeleteअपनी राय यहाँ पर दे