Aaj kal android phone hamare jeevan ka ek important hissa ban chuke hai. Aaj kal jyadatr office ka kaam ham android phone se hi karte hai. Chahe koi presentation ho ya koi mail karna ho. Ab ham in sabhi kaam karne ke liye android phone ka hi use karte hai. Aise me hame apne phone ko safe rakhna bhi bohat jaruri hai. Android operating system googe ne launch kiya tha. Aaj kal android sabse jyada logo ki pasand hai. Ham apne android phone ya tablets ko safe karne ke liye bohat se tricks follow karte hai. Lekin aaj ki post me mai apko top 5 tips dunga jise follow karke aap apne device ko safe kar skte hai.



Android Phone Ko Safe Rakhne Ke Top 5 Tips

Dosto android phone ko safe rakhne ke liye jitne bhi tips mai aapko bataunga un sabhi tips ko aapko acche se samjh kar sahi se follow karna hoga. Toh aaiye jante hai wo 5 tips kaun se hai.

1. Phone Ki External Safety






Agar aap apne phone ko safe rakhna chahte hai toh sabse pahle aap phone ke bahari hisso ko safe kare. Aaj kal market me sabhi android phones ke screen guard mil jayege. Sabse pahle toh aapko apne phone me ek accha screen guard use karna hai. Screen guard use karne se aapki screen safe ho jayega. Aur na hi apki screen me koi scratch aayega. Ek bat ka aap jarur dhyan de screen guard aap acchi company ka hi use kare.

Android Rooted Phone Ko Unroot Kaise Kare Step By Step


2. Attention Your Phone Battery

Aaj badi screen wale android phone market me jyada aa rahe hai. Company ne phone ki screen toh badi kar di lekin battery wahi hai. Aise me hamare phone ki battery jyada der tak nahi chalti hai. Agar aap chahte hai ki battery jyada der tak chale toh aapko apne phone me chal rahe background apps ko band karna hoga. Agar aap background apps ko band kar dege toh battery save toh hogi hi sath me aap apne phone ka data bhi bacha skte hai.
Aap android phone me live wallpaper ka use na kare kyuki live wallpaper se bhi bohat jyada battery waste hoti hai.




Airtel Me Free Internet Kaise Use Kare April 2016


3. Antevirus Use Kare

Android phone ko safe karne ke liye android phone me accha antivirus use kare. Play store me aapko kafi  antivirus mil jayege. Jaise ki 360 Security Lite, Clean Master ye antivirus kafi popular hai. Antivirus se aap junk file ko hata skte hai. Aap samay par scan karke apne phone ki speed bada skte hai. Antivirus agar aapke phone me hai toh aapki money transection bhi safe rahegi. Aur na hi apke phone me koi virus ayega. In sabke sath antivirus ka use karna bhi bohat jaruri hai.

4.External Storage Ka Use Jyada Kare

Agar aap chahte hai ki apka phone acchi speed me chale toh aap application ko SD card me hi install kare agar aap phone ki internal me apps install karoge toh Apke phone ki speed dhire dheere slow ho jayegi. Aap jyadatr apps ya data external me hi save rakhe. External me save rakhne se aapko ek ye bhi fayda hai ki agar aapka phone crash ho gaya ya restore ho gaya aise me aapka data SD card me save rahega.

5. Useless Apps Install Na Kare

Android me apko wahi apps install karni chahiye jo apps apke jarurat ki ho. Agar ham bevajah ki faltu apps install karege toh hame kafi nuksan hoga.

a) Battery jyada der tak nahi chalegi.
b) phone ki Space kam hogi. Jisse phone hang karega.
c) Aapka Internet data waste hoga

Last Word For You
Toh dosto aaj ki post me maine android phone ki safety ke 5 tips agar aapko post pasand aayi ho to social networks me jarur share kare.