English Kaise Seekhe Aur Bole

English Seekhna Aur Bolna Aaj Ke Daur Me Koi mushkil kaam nahi hai. Bas aapke andar kuch karne ka hunar hona chahiye. Maine bohat se aise logo ko dekha jo english seekhna toh chahte hai lekin unko ye dar rahta hai ki English bohat muskil hai aur mai ise nahi seekh skta. Aaj ki post padhkar aapko English bilkul bhi muskil nahi lagegi. English bolne aur seekhne ke liye bas aapko kuch tips apnane ki jarurat hai. Fir kya uske baad aap behtreen English bolne lagoge. Iske liye aapko mehnat karni padegi kyoki bina mehnat ke aap zindgi me kuch bhi hasil nahi kar skte hai.




Acchi English Kaise Seekhe

English aap tabhi seekh payege jab aapke aas pas ka mahol accha ho. Aap aise mahol me rahe. Jaha par English me jyada bat cheet hoti ho. Aapko apne man se ye dar nikal dena hai ki hame toh English bilkul bhi nahi aati hai. Iske sath aap English Serials, English movies, newspaper, gane , Comics etc padhe isse aapki English padhne me speed badegi aur aapki Spaling mistakes bhi door hogi.
Aap 30 Din ka target banaye usme aapki bhasa kewal English hi honi chahiye. Aap hindi movies songs story in sab se tab tak bilkul door rahe. Agar aapko English ki aadat pad gayi toh fir duniya koi aisi takat nahi hai jo aapko English na seekhne de. Bas aapko English ki aadat dalni padegi.
30 Din ke baad apko khud pata chal jayega ki aap English seekhne me kitne interested hai.




Acche Dost Banaye

Acchi English sikhne ke liye aapko acche dost banana bhi bohat jaruri hai. Aap aise friends banaye jo kisi acchi company me kaam karte ho aur acchi English bolte ho. Aise friends ke sath apko dosti karni chahiye. Kyoki aap jitna jyada English bolte hue dosto sunege utna hi aapke andar confidence aayega. Jab ham acche logo ke sath rahege toh hmara man bhi unke jaise banne ko hoga.




English Bolne Aur Padhne Ki Practice kare


Sabse pahle aapka kaam hai English ke words ko sahi se padhna jab tak aap English ke words nahi padh paoge. Tab tak aap English nahi seekh skte hai. English ke words ko padhne ke liye aap aaj se hi English Newspaper lena suru kar deejiye. Isse ye hoga ki aapki English padhne ki speed badh jayegi. Aur kisi shant jagah par jakar jor jor se English padhe. Isse aapke padne ki speed strong hogi.


Speaking Classes Join Kare


English seekhne ke liye aapko speaking class join karna bohat jaruri hai. Kyoki waha ka pura mahol English ka hoga. Aur aapke jaise kafi log mil jayege jo English seekhna chahte hai. Unse bat karne me aapko dikkat bhi nahi hogi aur na hi aapko sharm aayegi. Kyoki ye log bhi bilkul aapke jaise hi hai.

Exam Me Top Karne Ke Liye Padhai Kaise Kare


Last Word For You


Dosto aaj maine aapko bataya ki English bolna kaise seekhe. Ye matra aapka confidence badane ke liye post ki hai. Agar aapko English me kuch bhi problem ho toh comment karke apni problem hamare sath share kar skte hai. Ham aapki samsya ko dur karne prayas karege.agar post aapko helpful lagi ho toh apne dosto ke sath jarur share kare.




Tags: English kaise bole,free English speaking course, free English seekhe, english kya hai, free online English course, English ki padhai kaise kare, ghar baithe English seekhe
 

Hamari Aur Post Bhi Padhe

Kaise Banaye Apni Life Ko Succesful Aur Enjoyful

What Is Janhit Jagran ?