Google chrome sabse popular browser hai. chahe wo computer me ho ya smartphone me. Google ne chrome browser ko 2008 me launch kiya tha. aaj tak jitne bhi browsers aaye hai un sabhi browsers me google chrome sabse jyada user friendly hai. google chrome ko caroro log use karte hai. pichle 3-4 year me google chrome no 1 browser ban gaya hai. Google chrome browser me kuch aisi secrets tricks hai jiske bare me aap abhi tak nahi jante hoge. toh aaj ki post me mai apko google chrome ki top 5 secrets tricks bataunga jinse aap abhi tak anjan the. shayad aap bhi in tricks ko janne ke liye exited ho rhe hoge. ye tricks apke liye bohat use ful sabit ho skti hai. 




maine apni pichli post me bataya tha ki agar aap apne android mobile ka pattern bhool gaye ho toh use bina gmail account ke kaise unlock kare. shayad aapko wo post kafi pasand bhi aayi hogi. is post ke madhyam se aap asani se apne android mobile ke pattern ko unlock kar skte ho. toh aaj mai apko bata raha hu google chrome ki kuch mazedar secrets .




Google Chrome Kya Hai ? (What Is Google Chrome)
sabse pahle apko ye jan lena bohat jaruri hai ki google chrome kya hai. aur google chrome ko banane wala kaun hai.
google chrome ek internet browser hai. jiske jariye ham internet surfing karte hai. google chrome ke pahle sabse popular browser opera tha. lekin jab google chrome market me aaya tab se opera ki popularity kam ho gayi aur google chrome ke users ki sankhya jyada  ho gayi hai aur opera ke users din pe din kam hote chale gaye. 2010 me google ne chrome webstore bhi launch kiya.



Google Chrome Top 5 Secrets Tricks 2016 In Hindi
Google chrome me secrets toh kafi sare hai. lekin aaj ki post me mai aapko 5 popular secrets bataunga jo ki aapke liye useful sabit ho. kyoki chrome me aise aise shortcuts hai jinki madad se ham kam samay me jyada kam kar skte hai.

1- Easy And Fast Calculation Kare

mere hisab se bohat kam logo ko pata hoga ki ham google chrome ko calculater ki tarah bhi use kar skte hai.  isse aap apni calculation badi asani se kar skte hai. aur iske liye apko jyada kuch nahi karna hai. bas aap 50 meters to feet likhkar search karna hai. bas kuch second bad chrome calculater open ho jayega. aap apko jo bhi calculation karni ho wo badi asani se kar skte hai. aur ye bohat hi fast tarike se kam karta hai.

Blog Post Ko Copy Hone Se Kaise Bachaye

5 Rs Me Banaye 3D Glasses

2- Open Link In New Window

jab bhi ham internet sufing karte hai tab hamko hamesha kuch links ko new window me kholna jaruri hota hai. aisi condition me ham us link ko copy karke new window me paste kare hai. lekin ab apk aisa karne ki jarurat nahi hai. ab aap bina samay barbad kiye koi bhi link ko 1 second me new window me open kar skte hai. iske liye aap CTRL press krke link pr click kare. ab link automatically new window me open hogi. ab apko link copy paste karne ki jarurat nahi. aur isse apka waqt bhi barbad nahi hoga.

3- Save Browsing

chrome browser me aap apni  browsing save kar skte hai. ye toh apko pta hi hoga. iske sath sath aap chrome browser me aap personal bookmarking bhi kar skte ho. jitna bhi apka data hai us data ko aap ki dusre folder me save kr skte ho.
isko karne ke liye apko sabse pahle 3 lines arrow "" jana hai. aur CTRL+SHIFT+D key dabaye. ab bookmarks pages open hoge. jab bookmarks pages open ho jaye toh use aap koi bhi nam dekar save kar skte ho.

4- Safe Personal Information

in sabhi secrets ke sath sath aap chrome browser me apni personal information ko safe kar skte hai jaise ki passwords history apps bookmarks etc in sabhi ko aap safe rakh skte hai.
iske liye apko google chrome me login krke apne hisab se sync kar skte hai.

5-  Task Manager

chrome me pas apna khud ka task manager bhi hota hai. jo chrome browser ko hack hone se bachata hai. agar future me bhi apka chrome browser hack ho jaye toh  aap chrome task manager me jakar background me jitni bi procces chal rahi hai un sabhi ko dekh skte hai. aur jitni bhi extra process chal rahi hai un sabhi ko aap disable kar skte hai. isko kaise karna hai iski proces mai apko batata hu.
aap  ”  par click kare. aur more tools ko select kare. usme aapko kuch option dikhai dege usme aap task manager par click kare apko sab kuch dikhai de jayega.

Last Words For You
aaj ki post me maine apko bataye ki chrome browser ki jo secrets the jo aap ap abhi tak nahi jante hai. i hope ki apko ye post jarur pasand ayi hogi. agar apko post acchi lagi ho toh aap apne dosto ke sath jarur share kare.


Idea Easy Share Kya Hai Aur Idea Me Internet Data Kaise Share Karte Hai Learn In Hindi