Agar aap Google ki free service Blogger.com par apna blog banana nahi chahte hai. Aur aap apne man me ye sawal rakhte hai ki free me hosting kaha se le. Toh aaj mai apko ek aisi website ki jankari dunga. Jisse aap WordPress blog ke liye free me hosting pa skte hai. Hosting ke liye apko kuch bhi invest karne ki jarurat nahi hai. Ye bilkul free hai.
Hostinger Free WordPress Hosting

Agar aap apne blog ke liye domain lena chahte hai. Aur is bat se confuse ho rahe hai ki blog ke liye kaun se domain use kare. Pichli post me maine yahi bataya tha ki blog le liye kon sa domain behtar hai free ya paid. Agar apne abhi tak is post ko nahi padha hai toh pahle is post ko padhe. Aaj ka topic tha free hosting. Ab baat karte hai free hosting ki. 




Hostinger


 Ji haan| hostinger ek aisi website hai jo aapko free webhosting provide karawati hai. Hostinger kewal hosting hi nahi iske sath sath apko free me domain bhi deti hai. Isme aap hosting aur top level ke domain free me pa skte hai. Bina 1 rs investment kiye. Toh chaliye jante hai kaise milegi free hosting.

Hostinger Me Registration Kaise Kare?

Hostinger me aap 3 methods se registration kar skte hai. 

1- Gmail
2-Facebook
3- Create Account On Hostinger

Register karne ke liye aap koi ek tarika use kar skte hai. Gmail Id ka use karke aap sign up karna chahte hai toh G+ icon par click kare. Aap gmail id browser me pahle se open kar ke rakhe. Agar facebook se sign up karna chahte hai toh facebook login par click kare. 
In dono me se apke pas koi bhi Ac nahi toh create now par click kare aur apna new account banaye. In 3 tariko se aap hostinger me register kar skte hai.

Hostinger Plans

Hostinger se aap kewal free hosting hi nahi le skte balki isse aap paid hosting bhi le skte hai. Lekin mai apko only free plan ke bare me bataunga. Iske free plan bhi kafi acche hai. Jab aap ek bar ise use karege toh khud hi samaj jayege. Toh ek nazar free plan par bhi dalte hai.

Free Plan Me Apko Milega




1- 2GB Disk Space
2- 100 Gb Data Transfer
3- 2 Free Domain Names
4- Free PHP Scripts
5- Data Backup
6- 2 FTP users
7- Free Email Service
8- Faster Server Speed
9- No Ads
10-  More

Free plan ke sath sath aap paid plan bhi le skte hai. Hostinger apko 2 Paid plan provide karata hai. Agar apko free plan pasand nahi hai to ap paid plan le skte hai.




Blog Ke Liye Google Analytics Account Kaise Banaye

Hostinger me apko free plan me bhi bohat sare tools mil jate hai. Iska free plan lena bhi sahi rahega.

Free Hosting Le Demo Blog Ke Liye

Agar aapka blog blogger par hai aur aap blog ko WordPress me transfer karna chahte hai to aap pahle free hosting lekar ek demo blog create kare aur WordPress ko acchi tarah se seekh le. Fir aap kisi acchi hosting company se hosting le skte ho. WordPress ko seekhne ke liye free hosting acchi rahegi. Kyoki future me jabh bhi aap paid hosting le tab aapko problem nahi hogi.

Last Word For You

Aaj mai apko bataya ki WordPress blog ke liye free hostin kaha se le. Isse aap WordPress ko acchi tarike se samajh skte hai. Agar apko post acchi lagi ho toh apne dosto ke sath jarur share kare.

Hamari Aur Post Bhi Padhe

Android Mobile Se Paisa Kamane Ke 5 Best Applications