Aaj kal computer aur android phone hamari life ka hissa ban chuke hai. jyadatar ham kaam ab computer se hi karte hai. jab se computer aaya hai tab se hamari life kafi simple ban chuki hai. computer ke jariye ham bohat sare kaam ghar baithe kar skte hai. log apne office ka kaam ghar me hi karte hai computer ki madad se. kuch log aise hote hai jo kewal computer ka use timepas karne ke liye hi karte hai. aaj kal computer ka use har koi karta hai. lekin sabi ko computer ki jyada knowledge nahi hoti hai aur aise me agar hamse koi galti ho jati hai toh hamara kafi waqt barbad ho jata hai. toh dosto aaj ki post me mai apko pc ki aisi tricks bataunga jisse aap ban sakege ek power user toh agar ap ye tricks janna chahte hai toh bas padhte rahiye is post ko.
dosto computer ke alawa smartphone ki value bhi hamare jeevan me bohat hai. ham bohat se computer wale kam apne smartphone se hi karte hai aise me hame apne smartphone ko safe rakhna chahiye maine apni pichli post me yahi bataya tha ki apne android phone ko safe kaise rakhe. agar apne abhi tak ye post nahi padhi hai toh is post ko padhkar apne android phone ko safe kar skte hai
Computer Ki 5 Cool Tricks
1- Agar Galti Se Tab Band Ho Gaya Ho
kai bar aisa hota hai ki kai sare programs ko ham open kar dete hai ya fir jab computer slow hota hai toh jyada programs open ki vajah se hang hone lagta hai. tab ham jaldi jaldi programs ko band karte hai. kai bar jaldbazi ki vajah se jis tab me ham kaam kar rahe hai wo bhi band ho jata hai. toh aise me hamara kafi waqt barbad ho jata hai. aur wo kaam hame fir se karna padta hai toh ab apko tention lene ki jarurat nahi agar glti se tab band ho gaya ho toh apne computer me CTRL+SHIFT+T type kare aapka tab wahi se fir se khul jayega.
2- Private Browsing Kare
kai bar ham kuch aisa serch karte hai. fir baad me hame history ko delete karna pdta hai. toh ab apko history ko delete karne ki jarurt nahi padegi. aap jo kuch bhi search karoge wo private hogi jo apki history me save nahi hogi. iske liye aap CTRL+SHIFT+N press kare ab aap computer me kuch bhi karoge uski history save nahi hogi.
3- Battery Save Kare
aksar laptop me kaam karte wqt ham laptop ko charge karna bhool jate hai. aur jab ghanto kaam karte hai rahte hai toh hamari battery low ki vajah se kaam poora nahi ho pata hai. toh ab apko tention lene ki jarurat nahi ap laptop battery saving mode ko ON kar skte hai. ya fir apne laptop ki display ko dim kar de. isse apke laptop ki battery save ho jayegi aur aap jyada der tak kaam kar skte hai.
4- Windows Ko Kare Orgnise
maine kai logo ko dekha hai jo apne computer me 2 windows use karte hai. lekin wo ek bar me ek hi window use kar pate hai. toh dosto is trick se aap dono windows ko ek sath use kar skege. iske liye aap keyboard me window button aur right ya left arrow button ko ek sath press kare. aapko dono window corner me ek sath dikhai de jayegi. aapko jo use karna ho wo aap kar skte hai.
5- Antivirus Ka Use Kare
agar aap internet ka istemaal jyada karte hai. toh fir aapko koi acchi company ka antivirus use karna chahiye. antivirus use karne se apke computer me virus attack ka khatra kam ho jata hai. internet ka istemal kabhi kabhi karte hai toh aap free antivirus bhi use kar skte hai. aapko free antivirus kafi mil jayege.
Last Word For You
Toh dosto aaj ki post me maine aapko computer se related 5 tricks batai jinhe aap use karke ek super user jarur ban jayege. agar apko post acchi lagi ho toh neeche diye gaye social media buttons par click karke jarur share kare.
1 Comments
Great info! Very simple and easy. Nobody can explain as interesting as this. I appreciate your time and effort on making things simple and easily understandable. I have bookmarked your site. Thanks
ReplyDeleteCat6 Cabling Services
अपनी राय यहाँ पर दे