facebook sabse popular social network hai. facebook duniya me sabse jyada use kiya jata hai. lagbhag sabhi intenet users ka facebook me account mil jayega. aap bhi facebook use karte hoge. aapne bohat se aise account dekhe hoge jo fake hote hai. kuch log aise hote hai jo ladki ke naam ka fake account banakar use karte hai.aur ladko ko bewkuf banate hai ya fir pareshan karte hai. aapne unki id ko dekha hoga agar wo koi bhi status update karte hai to status me hazaro likes  aur comments aate hai toh hame aise fake logo se bachne ke liye fake id ka pata chalana bohat jaruri hai.jisse aapke sath koi cheeting na kar ske aur na hi apko koi pareshan kar ske. kabhi na kbhi aap bhi fake id ke chakkar me padkar bevkuf ban chuke hoge. toh dosto aaj mai apko aisi trick bataunga jisse aap fake id ka pata asani se kar sakoge.





facebook par sabse jyada fake id reacharge ki vajah se banai jati hai. kuch log aise hote hai jo ladki bankar ladko se baat karte hai aur fir unhe apne mobile number dekar reacharege karne ko kahte hai. aur ham log bewkuf banakar reacharge bhi karwa dete hai. toh sabse pahle dosto mai apse yahi kahna chahunga hame aise logo se na toh bat karni chahiye aur na hi unhe follow karna chahiye. agar ham unhe follow hi nahi karege toh hame fir koi bhi bewkuf nahi bana skta hai.

Fake Id Ka Pata Kaise Kare

dosto facebook par fake id banna kabhi bhi band nahi hogi. aur na hi ham isme kuch kar skte hai ki fake id ban ho jaye. lekin mai apko aise bate bataunga jisse aap fake id badi asani se pahchan loge.

1- Profile Pictures
agar kisi ki id me only ek hi photo hai ya fir kisi actress ka photo laga hai. toh wo id 100% fake hai. kyoki fake id user apni real picture kabi bhi use nahi karega. isliye profile picture ko sabse pahle dekhe.


Facebook Messenger Ki Top 5 Secret Tips And Tricks


2- Check Timeline Overview
aap uski timeline chek kare agar aapko uske kisi bi status me jyada likes dikhe ya faltu ke comments dikhe toh id fake ho skti hai. ya fir kafi time ke beech beech me wo online aata ho. kyoki jyadatar ladkiyo ki real id me faltu ke comments nahi hote hai.


Facebook Timeline Me Unwanted Apps Block Kare


3- Check Friends List




agar fake id hogi toh uske friends list me aapko kafi friends dikhai dege. aur jyadatar friends ladke hi hoge. kyoki fake id  hi jyada friends bana skta hai. ladko ke bevkuf banane ke liye.

4- Check Information
agar aapko id me uski information jaise address city school work etc toh id fake ho skti hai. kyoki fake id user koi bhi information add nahi karega. isliye information bhi check kare

5- Check Birthday Date
jab bhi koi fake id banata hai wo in sab bato ka jyada dhyan nahi deta hai. agar aapko kisi ki date of birh 31-12-xxxx ya 01-01-xxxx dikhai de rahi hai toh wo fake id ho skti ha. 

6- Photos
fake id users hamesh copyrighted images hi upload karta hai. wo aksar kisi actress ya fir model ki image download karke upload karega. agar koi real me ldki hoti toh wo aisa na  karti hai. agar koi aisi images upload kar raha hai toh id fake ho skti hai.


Kisi Ko Bina Bataye Uske Massages Chat Kaise Padhe In Hindi


Last Word For You
dosto mai apse yahi kahna chahuga ki facebook me jyada ladkiyo se dosti na kare. aur na hi koi ladki ladko se dosti kare aur fake id se toh hamesh bachna chahiye kyoki ye hame nukasann bhi pahucha skti hai. aaj ki post me maine apko fake id ka pta lagane ki kuch bate batai agar aapko post achhi lagi ho toh apne dosto ke sath jarur share kare.