Agar aap apni screen lock se bor ho chuke hai. aapko hamesha ek jaisi hi screen lock dekhne ko milti hai aur aapko ise dekhkar irritation mahsoos hoti hai. toh ab aap apne android phone ke screen lock ko behad khoobsurat bana skte hai. Android ko log only india me hi nahi  balki pure world me famous hai. log sabse jyada android ko hi pasand karte hai. aap jab bhi play store me ya fir aur kisi apps downloading sites me jate hai tab aap ye decide nahi kar pate hai ki kaun sa screen lock app download kiya jaye. kyuki waha par apko na jane kitne apps dekhne ko milte hai. toh dosto aaj ki post me mai apki confusion ko door kar dunga. aaj ki post me mai apko 5 best screen lock apps ki jankari duga. jo kafi popular apps hai. jinki rating kafi high aur haan ek bat aur jinhe mai khud use kar chuka hu.

Dosto maine apni pichli post me bataya tha ki gmail account hamare liye kitna jaruri hota hai. isliye gmail ko safe karna bohat jaruri hai. agar aap apne gmail account ka mobile number change karna chahte hai toh ye post padh skte hai. toh aaiye jante hai kaun se hai ye apps jo apki screen lock ke bana dege behatar

hame hamesha apne android screen ke lock ko change karte rahna chahiye. isse aapko kabhi bhi boriat mahsoos nahi hogi. apps jaanne ke liye post ko padhte rahiye.

Top 5 Lock Screen Apps Ki Jankari

aapne jitne bhi mahnge brands ke phone ko dekha hoga. usme apko acche theme ke lock screen apps nahi milege. wo brands kewal phone ki performence me jyada dhyan dete hai. na ki phone ki desiging me.

1- |Slide Locker Lock App|
 devloper ne is app ko kafi khoobsurti se design kiya hai. ye ek sabse best screen lock apps me se ek hai. isme aapko bohat sare features mil jayege. khas kar isme designs kafi acchi hai. isme aapko pin pattern passwords aur bhi bohat sare locks mil jayege. aur sath me acchi achhi themes bhi mil jayegi. ise download karke aap apne smartphone ke look ko accha kar skte hai. isme apko notification me double tap karke notification ko open kar skte hai. agar notifications ko aap remove karna chahte hai toh aap swipe kar skte hai. agar aap jaldi se camere ko open karna chahte hai. toh right se left ki taraf swipe kare aur apka camera fauran hi open ho jayega.




2- |Next News Lock Screen App|
ye app bhi kafi popular apps me se ek hai. iski rating aap play store se check kar skte hai. agar aapk newspaper padhne ke shaukeen hai. toh ye app apko kafi pasand aane wala hai. isme aapko koi bhi news online bade aram se mil jayegi. ise aap play store se free me download kar skte hai. lekin isme kuch aise features hai jise aap pay karke lena padega. aap isme sabhi features ko free me use nahi kar skte hai. free version me aapko pin aur pattern lock nahi milega ise aapko buy karna padega. 
isme sabse khas features ye hai ki ye hame lock screen ki jagah par news deta hai.

3- |Alarm Antitheft Screen Lock App|
aaj dusre logo ko hamare phone ko check karne me bohat maza aata hai. agar aapka phone bhi koi check kar raha hai toh ye app apke liye helpful sabit ho skta hai.is apps me bohat sare features diye gaye hai. lekin aap sabhi features ka maza free me nahi le skte hai. iske liye apko paise bhi kharch karne pad skte hai. tabhi aap iske sabhi features ka maza acche se le payege.
Kai bar aisa hota hai. agar aapne kahi par phone charge karne ke liye laga diya ya aap busy ho gaye toh kuch log hamare phone ko open karne ki kosis karte hai. agar aapke phone me ye app install hai toh koi bhi user galat password dalega. toh isme jordar alarm ki awaz ayegi. jisse apko pata chal jayega ki koi person apke phone ko open karne ki kosisi kar raha hai.




4- |LokLok App|
Agar aap apne dosto ke sath mazak karna chahte hai. toh ye apps kafi accha hai. agar aap safety ke roop me use karna chahte hai. toh ye apps apke liye theek nahi hai. isme ek aisa features hai. ki aap 2 bar power button ko press karege toh isme automatically screen white ho jayegi. aur apke dosto ko lagega ki  phone me kuch kharabi aa gayi hai. is apps ko aap fun ke liye use kar skte hai. toh hai na ye mazedar app

5- |Next Lock Screen App|
ye ek aisa screen lock app hai jisme aapko diffrent diffrent types ke pattern aur pin themes mil jayege. jo aapko phone ko behad hi khoobsurat bana dege. Agar aap finger lock ka use karna chahte hai. toh isme finger lock ka bhi option diya gaya hai.
isme aap bina phone ko unlock kiye huye call aur sms bhi kar skte hai.quick acces se ham flash light wifi jaise kai apps bohat jaldi use kar skte hai.

Last Word For You
dosto aaj ki post me maine apko bataye 5 aise applications jise aap apne phone me install karke apne fone ke screen lock ko accha kar skte hai. mai apse yahi asha karta hu. ki ye post aapko jarur pasand ayi hogi. aap ise apne dosto ke sath bhi jarur share kariye.