Internet par aapko english ebooks toh bohat si sites me mil jayegi. jise aap download karke padh skte hai. lekin hindi ebooks ka milna bohat muskil hai. agar aapko koi aisi site mil bhi gayi ho jisme hindi ebooks hai toh usme aapko kuch gini chuni hi hindi e-books milegi. jin logo ko jyada acchi english nahi aati hai wo hindi e-books ki hamesha talash me rahte hai.toh dosto aaj ki post me mai apko 5 aisi websites ke bare me bataunga jaha se aap hindi e-books free me download kar skte hai.

aap in site se e-books ko download karke print bhi kar skte hai. ya fir tablate ya mobile me adobe reader ki madad se  padh skte hai. maine bohat se aise logo ko dekha hai jinhe hamesha nayi nayi kitabe padhne ka shauk hota hai. aaj kal market me books ke price kafi high hai isliye ham jyada books nahi khareed pate hai. toh aapko ab tention lene ki jarurat nahi in website se aap koi bhi hindi book free me download kar skte hai. aur use padh skte hai. toh aaiye jante hai kaun si hai ye websites 


Top 5 Websites Hindi E-Books Download Karne Ki


1- FreeHindiBooksForYou

ye site kafi popular hai hindi e books download karne ke liye. aapko is site me roz nayi nayi books milegi ya par roz nayi nayi kitabe upload ki jati hai. agar aap novels padhne ka jyada shauk hai toh ye website apke liye helpful sabit ho skti hai. yaha par aapko premchand, Mohan Rakesh, jaise mahan writers ki book mil jayegi. jise aap free me download kar skte hai. iske alawa aap yaha se NCERT, Story books aur bhi kai tarah ki books asani se download kar skte hai.

2- Tamil Cube Hindi Books 




Is website me na jane apko kitni books mil jayegi. is me aap jo bhi catergory ko select karege usme aapko dher sari e-books mil jayegi. jise aap free me asani se download kar skte hai. agar aapko dharmik kitabe padhne ka shauk hai. toh apke liye ye site kafi achhi rahegi. isme aapko Ramcharit Manas sabhi veds upnishad mil jayege. 


3- Hindustan Books

Kuch logo ko history me jyada interest hota hai. aise logo ko dhyan me rakhkar hi ye website banai gayi hai. isme aapko history ki bohat sari books mil jayegi.  History me jyada ruchi rkhne wale log is website me visit karke free ebooks download kar skte hai. isme aapko jyadatar quality books hi milegi. toh aap yaha se pdf format me books download karke apne computer ya laptop me dalkar padh skte hai.

4- Ebook Web

is website me aapko only indian books hi milegi. isme hindi books ke sath sath aur bhi kai languages ki books mil jayegi. hindi ke sath sath aap aur bhi bhasao ki books free me download kar skte hai. Hindi me aap yaha se novels biography stories poem ki books download kar skte hai. ye website mobile users ke liye kafi aachi hai. yaha se aap mobile me aram se books dowload kar skte hai. 

5 Ved Puran

website ka naam sunakr hi aap samjh gaye hoge ki aap yaha se kaisi books download kar skte hai. yaha par aapko sabhi Vedas aur Puranas mil jayege. ye sabhi books free me hogi iske liye apko kuch bhi kharch karne ki jarurat nahi hai. iske sath sath agar aapke pas koi vedas hai toh aap is site ka form bharkar aapni book upload kar skte hai.

Post Summery




dosto aaj ki post me maine apko bataya ki agar aap hindi books ka shauk rakhte hai toh aap hindi ebooks aaram se download kar skte hai. isme maine apko 5 most website banai.toh agar apko post acchi lagi ho toh apne dosto ke sath jarur share kare aur e-books ko bhi download kare.