Q1-aap apne or radio udaan ke bare me kuch bataye?
Ans-me kya batayu aapne bare me bas ek chota sa rj hu or ek copywriter hu & radio udaan ek online radio hai jo is waqt 111 desho me suna jaata hai or iske 20000 sunne wale hai is radio ko chalane wale or kaam karne wale vi or blind log hai yani ki ph persons hai is radio me aapko sab milega kyuki hum sirf entertainment nahi balki infotainment dete hai humare pass lagbhag 30 logo ki team hai or 25 rj hai jo pure india me hai
Q2-aap radio ki duniya me kaise aaye or aapki shuruaat kaisi thi?
Ans-radio join karne ka sapna maine 2003 me dekha tha jab ek newspaper me full page ka ad dekha tha bas tab se ek kidda kat gaya radio ka magar radio ka shook to tha 10 sal ki age se ,mai radio me badi galtiyo se aay hu bas kripa haai mata rani ki aaj hu is feld me magar abhi bahut kuch karna hai, kyuki abhi o bas suruyat hui hai, 12 ke baad kisi ne guide hi nahi kiya ki b.a karu ya b.a in mass comm fir 3 saal idhar udha bank ke paper deta raha par maan sirf wahi tha ki rj banna hai to kahi se iim ka pata chala 2 baar written clear kiya par interview se reject par fir mila ek institute n.i.v.h dehradun jaha se maine kiya radio broadcasting jab me waha apne end par tha to papa ko advertising company mili Kanpur me barasia advertising waha maine interview diya & pahle waha intern fir ek fm me intern & again barasia advertising join ki magar is baar as a copywriter & kaam karte kart ek online radio mila jo aaj ki date me band hai maine use join kiya may me or 9 month kaam kiya than join kiya feb 2015 me radio udaan agar radio ki shuruat pe jaau to aaj jab me unhe suntan ho to lagta hai itna bekar or abhi bhi aisa hi lagta hai jab me apna last ep suntan hu yani shuruyat thik thi perfect honi baki hai
Q3-ek successful radio jockey banne ke liye hume kya karna chahiye?
Ans- abhi me is layak nahi hu ki iska ans me du jab ho jayunga tab de dunga kyuki abhi successful hona baki hai
Q4-india ke sabhi online radio stations ke shows me aapka show udaan top 10 popular hai iski success ka kya raaz hai?
Ans- saachi ye to mujhe bhi nahi pata hai kaha se nikali ye khabar aapne me bhi dekhna cahunga magar abhi or mahnat karni hai kyuki aapne kaha india ke radio me yani abhi globally popular hona baki hai & raaz kuch nahi hai bas mahnat hai & wo khabre ya baate lata hu jo alag ya anokhi ho jo logo ko kahi or na mile bas
Q5-aapke ab tak ke radio ke safar me aapne sabse badi kaun si galtiya kit hi jo aap new rj’s se hote huye nahi dekhna chahte hai?
Anks-insan hai to galtiya karange mai inhe galtiya nahi sabak manta hu or agar aap in sabak se sikh sake to bahut aacha hai maine apni pahli galti fm radio me kit hi jab ek sir ke samne maine kaha sir mujhe show karna hai or rj banna hai to unhone kaha kese bologe batayo to jab me bol ke hata to unhone kaha aese bologe ye bologe unka kahne ke matlab tha content kaha hai wo din hai or aaj ka din hai me sirf content pe hi kaam karta hu or har baar kuch naya de saku yahi kosis karta hu, galtiya or bhi ki hai par ye sabse badi thi or har new rj se kahunga kabhi content se compromise mat karna kyuki log aapke saath aapke content ko sunne aate hai
Q6-radio udaan ki sabse badi challenging problem kon si thi or aapne use kaise solve kiya?
Ans-abhi to radio start hue 3 saal hue hai or maine tab join kiya tha jab ek saal ho chukka tha to abhi challenge ki ek bahut lambi list hai or raha saval mera to jo bhi kaam mujhe milega me use puri lagan se karunga
Q7-kya aap radio udaan ke alawa aur bhi koi kaam karte hai?
Ans- ji jisa ki maine pahle kaha me rj ke saath k copywriter or vedio editor bhi hu up ki no1 advertising company barasia advertising me
Q8- aapne radio se apni life ko itna shaandar banaya ,toh kya aap bata sakte hai ki radio se hum life ko kaise change kar skte hai?
Ans-koi bhi kisi ke naam se nahi apne kaam se shandar banta hai or uski mahbat se koi brand banta hai to maine aapni mahnat se kuch hasil kiya hai or shaandar to hona abhi bahut door ki baat hai or raha saval bakio ka to as a listener aapki life radio se shandaar ho sakti hai agar aap aacha radio sunte ho or agar aap radio join karke life shandaar karne ki baat kaho to wo aap apni mahnat se kar sakte ho naam se nahi
Q9-aap hamare blog ke visitors se kya kahna chahange?
Ans- yahi ki bas aise hi ye blog phadte rahyie kyuki me khud phadta hu or is blog me aapko aachha content milega or har bar kuch anokha milega or radio udaan aap yah pe bhi sun sakte ho & aapna khayal rakhyie or mujhe aapne dilo me yaad rakhyie or aise hi sunte rahyie radio udaan or udaan top 10 or hame aapna pyaar dete rahyie dhanyawaad Ye Interview Kafi interesting laga hoga .
Related Article
0 Comments
अपनी राय यहाँ पर दे