Android Phone ko ham jitna secure kar ske utna hi hamare liye accha rhta hai. Kyuki android me hamari personal photos video aur bhi kai sari files ho skti hai. Jise aap nahi chahte ki koi apki files ya photos dekh ske.  Android me aapko kai tarah ke lock ke options mil jayega jaise pin pattern slide etc. Ye option ko log jyada use karte hai. Lekin aaj ki post me mai apko bta rha hu ki android me facelock kaise lagaye. Facelock shayad abhi tak bohat kam log hi jante hai. Lekin is post se aap asani se facelock lagana seekh jayege. Toh agar aap facelock seekhna chahte hai toh bas post ko padhte rahiye.


Sabse jyada hame pattern lock me problem hoti hai kyuki agar koi dusre ke pas apka phone chala jata hai aur wo pattern daalne ki kosis karta hai yadi 4-5 bar wrong pattern pad jata hai toh hamara phone lock jata hai. Aur phir aapko pattern unlock karne ke liye kafi paise bhi kharch karne padte hai. Agar aapke sath aisa hua hai toh aap hamari pattern lock ko kaise unlock kare ye post padh skte hai. Isme maine bohat hi simple se steps btaye hai jise follow kar aap pattern ko asani se unlock kar skte hai. 







Pattern ki vajah se hamara phone me sabhi folder bhi lock ho jate hai. Aur kabhi kabhi phone dead bhi ho jata hai. Lekin agar aap facelock ka istemal karege toh apke sath aisa kabhi bhi nahi hoga ab aapke phone ko koi bhi open nahi kar payega. Kyuki facelock tabhi apke phone ko open karga jab ki apka chehra scan na kar le. Facelock me aap apne chehre ko set kar skte hai. Facelock features aapko phone me kabhi bhi nahi dikha hoga kyuki ye ek hide feature hota hai. Isko use karne ke liye aapke phone ka android 5.0 lollipop hona chahiye. Agar aapke phone ka version 5.0 hai toh aap neeche btaye gaye steps ko follow kar skte hai.


Android Me Facelock Use Kare Step By Step

Android FaceLock use karna bohat hi easy hota hai. neeche mai apko step by step bta raha hu aap steps ko acche se follow kare




Step-1 Sabse Pahle Settings me jaye aur Security Par Click Kare

Step-2 Ab Security Me aapko advance security ka options dikhai dega is option par tap kare.

Step-3 Ab Trust Agent Par Tap Kare fir apko Smart Lock Google ka option dikhai dega. Is option ko aapko enable karna hai. Aur wapas fir security me jaye.

Step-4 Ab Security me apko Pin, Pattern, Slide, ke sath sath Smart Lock ka option dikhai dega.

Step-5 Ab Smart Lock Par Tap Kare aur apne security me jo password lagaya hai wo type kare aur Next par click kare

Step-6 Ab apke ke samne ek page open hoga usme likha What Is Smart Lock Aap Go It Par click kare

Step-7 Ab agle page me 4 options show hoge
#trusted device
#Trusted Places 
#Trusted Face
#On-Body Detection

Aapko apne phone me face lock set karna hai isliye aap trusted face ka option select kare

Step-8 Ab aap next page me set up option par tap kare. aur apne face ko scan kare. jab apki scanning complete ho jayegi tab aapko aisi picture dikhai degi.

Ab apko next par click karna hai.

Step-9 Ab "All Set Ko ok karna hai. 

congratulations! ab apka facelock activate ho gaya hai. ab jab bhi aap apne phone ko on karege tab apko apne face se scan karna hai. aap chahe abhi apne phone ko lock karke check kar skte hai. Aaap facelock ka app playstore se bi download kar skte hai.

Last Word For You
Toh dosto dekha na apne ki android phone me facelock set karna kitna easy hai. facelock ek hidden secuirty feature tha jiske bare me abhi tak apko pata nahi hoga lekin is post ke aap sabhi steps ko acche se follow karke aap is feature ko asani se use kar skte hai. 
I hope ki ye post aapko jarur pasand aayi hogi. aap 30 second me ye post apne dosto ke sath bhi share kar skte hai. toh plz is post ko aap social media me apne dosto ke sath jarur share kare. thank you

Hamari Aur Bhi Post Padhe