Aksar aisa hota hai ki ham nahi chahte ki hamare phone ke kuch personal apps aur koi dekhe khaskar whatsapp aur messenger in apps ko ham nai chahte hai ki koi bahar wala inhe dekhe. Lekin ham hide nahi pate the. Lekin ab aapka pareshan hone ki jarurat nahi is trick se aap bina phone root kiye badi asani se koi bhi app hide kar skte hai chahe wo Facebook ho ya whatsapp. Agar aap is trick ko seekhna chahte toh post ko dhyan se end tk padhe
Kai baar hamare family members hi hamare phone me game khelne lgte hai aur hamare phone ki battery jaldi khatm ho jati hai. Aap vese bhi jante ho ki android phone ki batter 3-4 Hour's se jyada ni chalti hai. Toh aisi hi bohat se problems ke solutions aapko is post se jarur mil jayege.
How To Hide Apps In Android Phone (Without Root)
Dosto isme aapko phone root nahi karna padega aur na hi aapke phone me koi nuksaan hoga. Iske liye bas apko apne phone me ek launcher app install karni hogi. Dosto is launcher se aap apne phone ko bhi ek new look de skte hai. Isme apko bohat si new design ki themes mil jayegi. Jinhe use karke aap apne phone ke look ko behtar kar skte hai. Aap background color bhi badi asani se change kar skte hai. Background chal rahi faltu apps ko bhi band kar skte hai. Aur bhi bohat se aise features hai jo aapko kafi pasand aane wale hai.
Apps ko Hide Karne Ki Jankari Ham Apko Step By Step Dege
Step-1 Sabse Pahle aap play store Me search kare " SOLO LAUNCHER" aur download kare ya fir aap yaha se download kar skte hai
Download Solo Launcher
Step-2 Ab Aapke phone ki new theme dekh skte hai. Mera matlb hai ki ab aapke phone ki theme change ho chuki hai.
Step-3 Ab aap menu par jaye aur right side me aapko 3 dot ka option dikhai dega. Is option par Tap kare
Step-4 Ab aapko Hide app ka option dikhai dega. Aap hide app par click kare
Step-5 Ab jo bhi apps aap hide karna chahte hai unhe select kare aur OK par click kare
Aapne jo apps select kiye hai ab wo apps aapko menu me nahi dikhai dege. Matlb ab aapke apps hide ho chuke hai.
Last Word For You
Dosto ye ek simple si trick thi. Jise aap easily use kar skte hai. Agar aaj ka article pasand aaya ho toh ise apne dosto ke sath share karna na bhoole aur aap aise hi AHIH par bane rahiyega.
Motivational Aur Inspirational Stories Ke Liye Abhi Visit Kare Hamari New Website My Success Live Par
3 Comments
i like it
ReplyDeleteBadminton Yonex Canada Open 2016 is going to be held and there are many people who are looking to get some ticket for watching the live game.This https://essayrepublic.wordpress.com/ is helping the people who want to get the opportunity to enjoy the batminton tournament. But the live streaming should be improved so that the people can watch this batminton tournament.
ReplyDeletesir muge cabal se connect wi fi ka pa passrwd kese pata kar sakta hu
ReplyDeleteअपनी राय यहाँ पर दे