Dosto aaj ka hamara topic hai event blogging kya hai. aksar ham log blogging isliye karte hai ki apne blog ko popular kar isse paise kamaye ja ske. but sabi ke blog succesful nahi hote hai. avrage 10-20% blog hi success hote hai. lekin agar kuch aisa kiya jaye jisse kam time me acchi earning ho jaye toh ye ham sabhi ke liye accha hoga. aise me hi blogging ka ek importent hissa hai event blog. kuch bloggers toh aise hai jinke blogs kafi popular hai aur acchi earning bhi kar rahe hai tab bhi wo event blogging kar rahe hai aur acchi earning kar rahe hai. mai janta hu ki apke man me yahi sawal aa raha hoga ki event blogging kya hai lekin kuch log iske bare me thoda bohat jante bhi hoge lekin is post ko padhne ke baad apke sabhi doubts clear ho jayege ki event bloging kya hoti hai aur ise kaise karte hai aur event blogging se kaise paise kamate hai.
Event ka mtlb toh aap samaj hi rahe hoge. event means kisi special day ya festival ya fir kisi exam....etc aise bohat si cheeje hoti hai jinka use kuch din tak bohat hota hai bas is kuch din me hi ham acchi earning kar skte hai. event blog lifetime ke liye nahi hota hai. Agar ham kam samay me jyada paise kama le to ise ham galat toh kah nahi kah skte hai bas iske liye hame mind lagane ki jarurat padegi ki event blog ke liye kis tarah ka domain liya jaye jo sabse jyada search ho. event blog me hame kisi festival ya special day ko focus kar create kiya jata hai. agar seedhe sabdo me baat ki jaye to ise ham ek tarah se spam hi kahege. kyoki isme heading ya title ke anusar blog me information nahi publish ki jati hai.
is post ko padhne ke baad apko event blogging karne ki jyada toh nahi lekin thodi jankari toh mil hi jayegi. jisse aap ye toh acche se samajh jayege ki event blog hota hai aur ise karne ke liye hame kitni mehnat karni padti hai aur ham isse kitni earning kar skte hai. toh aise simple sawalon ke jawab mil jayege. dosto maine apni pichli post me btaya tha ki link building kaise kare is post me maine link buildings ki a2z jankari dee thi. link building karna SEO ke liye toh acccha hai hi lekin iske sath sath event blog ko succesfull karne ke liye iski 40% sajhedari hoti hai. to sabse pahle aap link building wali post ko padhe.
Event Blogging Kya Hai? Learn In Hindi
Event blogging karne se pahle aapko sabse pahle ye janna hoga ki event blog hota kya hai. aap startings ke paragraph se toh kuch idea laga liya hoga ki event blog karne ke liye hame kisi festival ya special day ko target karna padega. aur us par ek blog banana padega. agar aap aisa soch rahe hai toh apko soch bilkul sahi hai. event blogging me hame sabse pahle koi festival special day ya fir upcoming exams ya fir bohat se topic hote hai jaise ki election ya fir koi movie upcoming games.....etc aise topic ko target kar apko domain buy karna padega. aur iska kaam hame event se kam se kam 2 mahine pahle start kar dena chahiye. jaise agar aap Diwali Par blog banana chahte hai to sabse pahle aapko keywords research karne hoge ki previous year me sabse jyada kon kon se keywords search kiye gaye the. iske baad hi aap ek accha domain buy kar payege. jaise apne diwali par domain lena hai toh aap is tarah domain le skte hai.
happydiwalipic2016.com
happydeepawalisms2016.com
happydiwalifbstatus.com
is tarike se apko domain choose karne padege.Maine abhi tak only ek event blog kiya hai. lekin jis waqt maine event blog kiya tab muje iski poori jankari nahi thi. isliye mera blog fail ho gaya hai. isse mai jyada earning nahi kar ska hai. bas isse mai only $109.87 hi earn kar paya tha. lekin fir maine iski poori janakri ki aur ab aap logo ke sath share kar rha hu.
Event Blogging Kaise Kare...?
Event blog karne ke liye kuch points hai. isi base par poori event blogging hoti hai. agar aapne in points ko acche se follow kar liye toh mai 100% guarntee deta hu. ki apka blog fail nahi ho skta hai. lekin ye sab karne ke liye apko mehnt karni pdegi.
Tips 1- Sabse pahle aapko acche keywords selec karne padege. aap aise keywords ko select kare jinme comptetion kafi low ho. tabi aap acchi rank paa skte hai aur blog ko success kar skte hai. toh apko sabse importent point keywords ko select karna is par special dhyan dena hoga.
Tips 2- Domain kam se kam 2 months pahle buy kare. aur iske turant baad link building ka kaam start kar de. 1 din me kam se kam 100 directories sites me submit kare aur jyada se jyada backlinks banaye. kyuki jitni jyada backlinks hogi utni hi aapki pagerank improvement hogi. km se km 2000 backlinks create kare.
Tips 3- Event blogging aap hamesha google ke blospot free platform me hi kare. wordpress se blogspot jyada better hai. aur blogspot platform me aap on page seo kare. Isse aapko ye bhi fayda hoga aapko koi hosting bhi nahi leni padegi agar event blog unsuccessful raha toh aapko koi nuksaan bhi nahi hoga. aur blogspot platform google friendly bhi hai.
Tips 4- Event blogging me anchor text bhi bohat importent hota hai. isliye anchor text ko acche se alag alag use kare. kyuki isme thodi si bhi mistake hone par apka blog fail ho skta hai. isliye achor text ki value samje aur iska use shi se kare.
Tips 5- Paise jyada se jyada earn karne ke liye apko pahle se ek alag adsense se apply kar dena chahiye. agar ek baar approve nahi hota hai toh aapko bar bar kosis karte rahna chahiye. kuch dino me apka adsense approve ho hi jayega. jab apka adsense approve ho jaye uske baad aap infolinks me apply kar de. aur dono ko ek sath use kare. isse apki jyada earnings ke chances badh jayege.
Note- Event Blog me sabse jyada keywords ka kaam hota hai. agar aapne sahi keywords use kar liye toh apka blog kabhi bhi unsuccessfull nahi ho skta hai. bas aapko aise keywords research karne hoge jisse apka blog success ho ske.
Last Word For You
Event blog ko success karna koi muskil kaam nahi hai. bas hame iski poori jankari honi chahiye. kyuki ham bina kisi cheej ke jankari ke bina kuch bhi nahi kar skte hai. toh maine apko jyada se jyada jankari dene ki kosis ki hai. agar aap in sabhi steps ko acche se follow karege toh apka event blog jarur success hoga.
Agar aapko meri post pasand aayi ho toh apne dosto ke sath share karna na bhoole.
Hamari Aur Posts Bhi Padhe
Hamari Aur Posts Bhi Padhe
0 Comments
अपनी राय यहाँ पर दे