hello dosto aaj ham aise topic par baat kar rahe hai jo ki SEO ka ek bohat hi importent hissa hai. jiska naam hai link building. ise ham backlinks bhi kahte hai. seo accha karne ke liye backlinks banana bohat hi jaruri hota hai. aapne iske bare me bohat suna hoga lekin abhi iski poori jankari nahi hogi toh aaj ham is post ke jariye aapko SEO backlinks yani link buildings ki poori jankari dege. Aaj kal sabhi bloggers success hona chahte hai aur apne blog se money earn karna chahte hai. lekin traffic ki vajah se ya SEO accha na hone ki vajah se CPC problems bohat hoti hai aur ham hatash hokar blogging chhod dete hai. lekin agar ham sabi SEO settings acche se kar le toh hmara blog kafi popular ho skta hai aur ham acchi earning bhi kar skte hai. toh sabhi settings me se ek backlinks banana bhi bohat hi jaruri hai. jab aapki backlinks ban jaye tab aap kuch din baad check backlinks jaisi sites se apni backlinks pta kar skte hai.
bloggers ko hamesha kuch na kuch seekhte rhna chahiye. kyuki SEO terms google hamesha change karta rahta hai. aur maximum traffic hame google se hi milta hai. new blogger SEO terms ko andekha kar dete hai aur bas koi bhi blog banakar bas usme post likhne lagte hai jiski vajah se hame search engine se traffic nahi mil pata hai. aur ham earning nahi kar pate hai.
Links Buildings Kaise Karte Hai ?
dosto links building janne se pahle aapko SEO ki jankari hona jaruri hai toh sabse pahle ham apko search engine optmization ki thodi jankari dege
SEO 2 tarah ke hote hai
1- On Page SEO
2- Off Page SEo
links building off page SEO ka hissa hota hai. off page seo settings hame apne blog se bahar karni hoti hai. backlinks ka yahi mtlb hota hai. ki hame dusro ki site se kitna traffic mil raha hai. agar ham quality sites me back links create karege toh hamari site bhi google me top me aa skti hai. lekin kuch logo ko yahi lgta hai ki doosri sites se backlinks pana bohat hi easy kaam hai. toh ye aapko galat fahmi hai. SEO backlinks create karna bahut hi muskil kaam hota hai. aap jab bohat mehnat karege tab ek din me jyada se jyad 15-20 backlinks create kar skte hai. pahle muje bhi lgta hai ki link building karra kafi easy hai lekin jab maine ise start hua aur muje pata chala ki ye itna easy nahi hai jitna log samjhte hai.
Links Buildings Kya Hai?
links buldings karne se pahle apko ye janna bohat jaruri hai ki ye hota hai kya hai. links buildings me hame acchi websites me apna backlink banana hota hai. jo bhi acchi sites hai jinhe google ne acchi pageranking di hai un sites se hame traffic apne blog me lana hota hai. jitni acchi sites se aap backlinks banaoge utni hi aapki ranking up hogi hai. backlinks create karne se pahle hame ye pata karna bohat jaruri hota hai ki ye acchi site hai buri sites kyoki agar ham kisi aisi sites me seo backlinks create karege jisko page rank nahi prapt hai to aisi sites se backlinks ki koi value nahi hoti hai balki ham bhi usi sites ki category me aa jate hai aur hamara SEO bhi kharab ho jata hai. links buildings 2 type ke hote hai
1- Do Follow
2- No Follow
aapko hamesha yahi kosis karni chahiye ki aap do follow sites se jyada se jyada link building kare. do follow sites ka pata karne ke liye aapko internet me pagerank ke extentions mil jayege jise aap browser me use kar skte hai. isse apko sites ki pagerank badi hi easily pata chal jayegi
agar aap no follow sites me backlinks banayege isse aapko koi bhi fayda nahi hog bas aapka time barbaad hoga isliye hamesha do follow sites se hi backlinks create karne ki koshish kare.
Note- Backlinks aisi sites banani chahiye jo sites apko category se milti ho yadi aap aisi sites se backlinks create karte hai jisse apke blog content match nahi kar rhe hai tab bhi ek quality backlink nhi kha jayega.
Links Buildings Kaise Kare
links buildings karne ki 3 tarike bohat hi popular hai. in tariko se hi sabse acchi link building hoti hai. jinka use aaj kal sabhi acche bloggers kar rahe hai.
Directories Website Submission
Internet par aapko bohat si websites mil jayegi jaha se aap ek accha quality backlink pa skte hai. lekin directories website me submit karne se pahle apko page rank pta karni bohat jaruri hoti hai. kuch websites me submit karne ke liye aapko unke plan bhi buy karne pad skte hai. lekin kuch sites aisi hoti hai jinke html code apko apni website ke header me add karne hote hai tabhi apki website verify hoti hai.
Commenting
aap jyada se jyada comments karke ek acchi backlinks ko pa skte hai. kyuki commenting bhi ek link buildings ka ek aham hissa hai. agar aap kisi site par jyada visit karte hai aur daily comment karte hai toh usse apko backlink milne ke 100% chances hote hai. aapne kai wordpress blogs me dekha hoga jisme comment Luv ka option hota hai. isi se ham apni link comment me add kar skte hai.
Article Submission
Kuch directories websites me article submission ki bhi service hoti hai. jisme ham apne post ya blog ki categories ki hisab se article submit kar skte hai. aur ek quality backlink create kar skte hai. aisa karne se aapne visiter bhi badege aur back link bhi milegi. isliye ek bar ise jarur try kare.
- Blogspot Blog ka Backup kaise Le
- Adsense RPM Kya Hoti Hai?
- Blogger Ke Liye Google Analytics Account Kaise Banaye
- Kisi Website Ka Template Kaise Pata kare
dosto ye 3 tarike link building ke bohat hi popular hai jinka use aaj kal har blogger karte hai. aap ye 3 tarike aur uper btai gaye sabi steps acche se follow kar ek accha backlink bana skte hai. aur hamesh unique article likhne ki kosis kare jisse ki dusre blogger aapki link ka use kar ske hai. isse automatic backlinks create hoti hai. aur iske sath sath aap profile creation sites jaise ki LinkedIn, Stumbleupon, Quora jaisi sites me apni links submit kar skte hai.
Mai aapse yahi aasha karta hu ki apko meri ye post jarur pasand aayi hogi. aur agli post me mai apko directories websites bataunga jisme aap apni links submit kar skte hai. aur haan is post ko apne dosto ke sath share karna na bhoole.
3 Comments
bahut acchi post hai Rohit bro SEO backlinks ke upar kya aap mujhe ek back link dena chahenge apni site par par agar han to is comment ko approved kar dena bhai www.tekonly.com
ReplyDeleteHi mene www.healthwalebaba.blogspot.com health and Beauty par banai 15 p0st likh chuka aur sabhi post 1500-3000 word ke hai mene g console me sitemap bhi add kar diya hai meta tag bhi add kar diya hai par fir bhi mere post search karne par 3-6 page par aate hai kiu mujhe blog banaye huwe 1 month ho gaya hai kya karu
ReplyDeleteHi mene www.healthwalebaba.blogspot.com health and Beauty par banai 15 p0st likh chuka aur sabhi post 1500-3000 word ke hai mene g console me sitemap bhi add kar diya hai meta tag bhi add kar diya hai par fir bhi mere post search karne par 3-6 page par aate hai kiu mujhe blog banaye huwe 1 month ho gaya hai kya karu
ReplyDeleteअपनी राय यहाँ पर दे