Whatsapp sabse jyada use hone wala messenger hai. Aaj kal har internet user whatsapp ka use karta hai. Aapne bohat kam hi aise android phone's dekhe hoge jinme whatsapp install na ho. Toh chalo aate hai apni post me aaj ke title se toh aap samjh hi gaye hoge ki whatsapp plus ka latest version ham kaise download kare. Jo bhi whatsapp plus ka use karte hai wo ab whatsapp plus ka latest version download karne ke liye internet par bohat si website me search kiya hoga lekin kisi me bhi aapko latest version nahi mila hoga tabhi mere ek friend ne mujse pucha ki whatsapp plus ka latest version kaha se download kare tabhi maine net par kafi research ki aur whatsapp plus ke latest version ko dhoond nikala




Whatsapp aur Whatsapp Plus Me Kya Difference Hai?

Dosto agar aap pahli baar whatsapp plus ka naam sun rahe hai toh sabse pahle aapko whatapp plus ki poori jankari hona bohat jaruri hai kyuki ham bina kisi cheej ki jankari bina kuch bhi nahi kar skte hai. WHAtsapp plus bhi ek whatsapp ki official app ki tarah hi hai. But whatsapp plus me whatsapp se kuch jyada features hai. Jo kaam ham whatsapp me nahi kar skte. Whatsapp plus me ham large file send kar skte hai. Aur bhi bohat se aise features hai jo mai neeche ki heading me btane wala hu. 




Whatsapp Plus Ke Features 

1- Whatsapp Plus Me Aap 50 MB tak koi bhi file send kar skte hai

2- Aap Iska Icon Change Kar Skte Hai

3- Whatsapp Plus Me Aap ek sath 10 images send kar skte hai

4- Aap isme background color aur notification color change kar skte hai.

5- Whatsapp Plus me aap original size me pic bej skte hai. Isme koi bhi.compression nhi hoti h

6- Aap Alag alag contact ke liye different different status set kar skte ho

7- Friend ka status aapka chat box me hi dikhai de jayega

8- More Features




Whatsapp Plus Ka Latest Version Kaise Download  Aur Install Kare 

Dosto whatsapp plus ka latest version download karne ke liye ham aapko step by step jankari dege bas aap hmare steps ko acche se follow kare

Step-1 Sabse Pahle Aap Whatsapp Plus Apne Phone Me Download Kare (Download)




Step-2 Ab Apne smartphone me whatsapp plus install kar open kare

Step-3 Ab isme apna mobile no enter kare aur OTP complete kare 

Note- Agar Apke phone me whatsapp install hai toh use pahle apne phone se remove kar de

Step-4 Ab aap badi asani se sabi features ka maza le skte hai

Last word For You

Dosto Whatsapp Plus ek third party application hai. Ye original whatsapp nahi hai. Isliye aap soch samj kar hi iska istemal kare. Toh aaj maine apko btaya ki whatsapp ka latest version kaise install kare. Agar aapko ye post pasand aayi ho toh ise apne dosto ke sath jarur share kare.

Dosto Agar Aap Apni Life Ko Sawarna Chahte Hai Toh Abhi Visit Kare Hamari New Website My Success Live (Sware Your Life)
mysuccesslive.com