Dosto aaj kal pokemon game ne har country me dhoom macha rakhi hai. har jagah pokemon hi chha gaya hai. aur games ko toh log khelna hi bhool gaye hai. har jagah pokemon pokemon hi hai. lekin pokemon game khelte samay hamari battery bohat tezi se kharch hoti hai. aur ham jyada der tak pokemon game nahi khel pate hai. hame baar baar apne phone ko charge karna padta hai. Lekin aaj ham aapko kuch aise tarike batane ja rahe hai. jisse aap Pokemon Game khelte samay apni battery save kar skte hai. aur jyada der tak game ka maza le skte hai.

Pokemon game 3 days me hi america me sabse jyada download kiya gaya tha. isiliye ye ek bohat hi popular game ban chuka hai. india me bhi iski deewangi dekhi ja rahi hai. Lekin pokemon game ko khelne ke liye aapke paas high speed internet connection hona chahiye acchi RAM aur Proccessor wala Android Phone hona chahiye aur Phone Ka Accha camera hona chahiye tabhi aap pokemon game ka maza le skte hai. Chaliye ye toh generaly bate ho gayi ho gayi toh aaj ham aapko Pokemon Game khelte samay battery kaise save kare.





4 Clever Tarike Pokemon Game Khelte Time Battery Save Karne Ke

Dosto ham aapko 4 aise tarike bta rahe hai. jisse aapk 30-35% battery save kar skte hai. aur jyada der tak pokemon game ko khel skte hai. toh aaiye jante hai 4 clever tips jisse ham battery life improve kar ske.


1. Battey Save Mode Enable Kare

Pokemon Go khelte samay aapko sabse pahle battery save mode ko enable karna chahiye. ise enable karne se aapke phone ki kafi battery save hoti hai. ise enable karne se ye pokemon game ko thoda compress kar dega jisse aapko battery save ho jayegi aur aap jyada der tak game khel skeke
Ise Enable Karne ke liye Poke Ball par Tap kare ab bottom me apko settings ko option dikhai dega is par click kar aur Enable Battery Safe Mode par click kare. ab aapka battery save mode on ho chuka hai. ab aap dekh skte hai ki pahle se kuch jyada der tak aapki battery chalegi.

2. Screen Brightness Kam Kare

Battery Save karne ke liye aapko apne phone ki Brightness kam kar leni chahiye. brightness kam kar lene se aapke phone ki battery jyada der tak chalti hai. agar aap kisi aisi jagah par hai jaha par jyada roshni nahi nahi toh aap Screen brightness kam kar skte hai. 
Brightness kam karne ke liye Settings>Display>Brightness Par jakaar apne hisab se kam ya jyada kar skte hai. 





3. Music Aur Sound Effects Off Kare

Pokemon Go game khelte samay aap Music aur sount effect ko off kar de. isse bhi aap battery ko save kar skte hai. kyuki jab tk music on rahte hai toh music me bhi kafi battery kharch hoti hai. isliye ise off hi rakhe off karne se aapki battert life bad jayegi aur aap kuch der aur Pokemon game khel skte hai.
Music Aur Sound Effect Off Karne Ke Liye Going To Poke Ball>Settings>Uncheck>Music & Sound Effect par jakar aap is option ko off kar skte hai,

4. Augument Reality Feature Off Kare

Is Feature ko off kar aap battery life jyada kar skte hai. ise off karne se jyada fark nahi padta hai. bas thodi reality kam ho jati hai. lekin isse battery life bad jati hai. agar aap chahe toh is feature ko apne Pokemon go me off kar skte hai,
Ise Off karne ka Option aapko game ke Right Corner Me mil jayega jaha se aap ise off kar skte hai.





Last Word For You

Dosto aaj maine apko pokemon game khelne waqt battery save karne ke kuch tips btaye. aap hamare btaye gaye tips ko acche se follow kar apni phone ki battery kafi save kar skte hai. bas in tips ko aap acche se follow kare.
I hope ki apko ye post jarur pasand aayi hogi agar mera sochna sahi hai toh is post ko aap social media me apne dosto ke sath jarur share kare taki unko bhi ye jankari hasil ho ske.