Dosto agar apke pas ek blog hai aur aap usme adsense use kar rahe hai. aur apko abhi tak adsense ki taraf se pin verify letter nahi mila. Aur pin verify letter ki vajah se aap apni payment lene me unable hai. toh ab apko tention lene ki jarurat nahi hai. aap manually apna address verify kar skte hai. Aur apni payment le skte hai. Adsense India me tab pin verify letter send karta hai. jab aap successfully $10 complete kar lete hai. maine bohat se bloggers ko yahi kahte suna hai ki mere account me $10 poore hue 3 months ho gaye lekin abhi tak pin nahi mili. bohat se bloggers ko aisi problem ho chuki hai. jiski vajah se unka adsense disapprove bhi ho gaya hai. aur unke account me kafi ammount bhi tha wo bhi sab waste ho gaya. Agar aapko abhi tak pin verify letter nahi mila hai. toh apko koi tention lene ki jarurat nahi ab aap Adhar Card Ya fir Passport se apna adsense address verify kar skte hai. jiski jankari mai apko aaj ki post me de raha hu. so ise carefully padhe.
kabhi kabhi aisa hota hai. ki ham aisi jagah hote hai. jaha par Postal service acchi nahi hoti hai. iski vajah se bhi hame pin nahi mil pati hai. vese $10 complete hone ke 4 weeks ke baad apke pas pin pahuch jati hai. lekin agar apko pin nahi milti hai toh aap new pin request kar skte hai.
Adsense New Pin Request Kaise Kare
Agar hame 4 month me pin nahi milti hai ya ham 4 month tak adress verify nahi karte hai. tab adsense hamare blog se apni ads remove kar leti hai. mera matlb hai agar 120 days me adress verify nahi karege tab hamare blog ya site me ads nahi show hoge. toh ham apko bta rahe hai ki new pin request kaise kare.
Step-1 Sabse pahle apne adsense account me login kar open kare
Step-2 Gear icon par click kare aur fir settings open kare
Step-3 Account Information par click kare aur ab aapko Verify Adsense Link ka option show hoga is par aap click kare
Step-4 Is page ke bottom me aapko New Pin Request Ka Option Dikhai de jayega is par click karke aap new pin request kar skte hai.
Ek baat ka dhyan rakhe jo new pin request aapne ki hai wo pahle wale pin ki hi duplicate copy hai. agar apko pahle wala pin mil jata hai. toh aap wo pin dal kar hi apna address verify kar skte hai. Adsense ka rule hai. agar aap 3 bar se jyada wrong pin enter karte hai. toh apka account permanently block ho jata hai. isliye pin enterk karte samay thoda dhyan de. agar galti se bhi aapse 3 times se jyada wrong pin enter kar diya isse apko nuksaan ho skta h.
Agar New pin request karne ke baad bhi hame pin nahi mil rahi hai. toh ham apne documents se apna address verify kar skte hai. iske liye aapke pass goverment approve ID honi chahiye. aap voter id bank pass book, passport, adhar card jaisi id ki copy upload kar apna account verify kar skte hai.
Adhaar Card Se Adsense Address Verify Kaise Kare
Agar aapke pass adhar card hai. toh fir apko verify karne me kuch bhi problem nahi hogi. agar Adhar card nahi hai toh aap jald se jald adhar card banva le. kyuki adhar card aajkal har jagah kaam ata hai. address verify karne se pahle aap Adhar card ki scanned copy ready kar le.
1. Adsense Me login kar Dashboard me jaye
2. Ab ID Verification me jaye aur form ko sahi se fill kare
3. Aap apni publisher ko bhi kahi note karke rakh le. kyuki us waqt apko iski jarurat pad skti hai.
4. Ab pin verify ki jagah document verify ka option mil jayega
5. Upload Document kO select kare aur apni PDF file upload kar de.
6. Submit par click kare
Ab aapka application submit ho gya hai. ab apko adsense ki team ke msg ka wait karna hai. adsense ke reply me 30 minutes bhi lag skte hai. bas fir kya ab apka address verify ho chuka hai. aur ab apni payment le skte hai.
Dosto agar ye article apko helpful laga ho toh apne dosto ke sath share karna na bhoolen.
1 Comments
Good Article Boss
ReplyDeleteअपनी राय यहाँ पर दे