3G mobile me jio sim ko use karne ke liye sabse pahle aapke paas jio sim hona chahiye. Jio sim lene ke liye sabse pahle aapke pas bar code hona chahiye. agar aap apne 3G phone se bar code generate karna chahte hai toh aap hmari ye post padh skte hai.
mere kai dosto ne mujse poochha ki jio sim ko 3G phone me kaise use kare toh aaj mai aapko iska working method bta rha jo 100℅ working hai. bas aapko hamare btaye gye tarike ko dhyan se samjhna hoga. ise use krne me mistake nhi honi chahiye
Dosto maine apni pichli post jio par hi ki thi ki kisi bhi mobile no ko jio me kaise port kare agar aapne abhi tak post nahi padhi hai toh aap ye post yaha se padh skte hai.
How To Use Jio Sim Any 3G Phone's
Jio Sim 3G Phone Me Kaise Use Kare
Jio sim 3G me use krna bohat hi easy hai. bas aapko iski settings acche se krni hogi toh aap hmare btaye gye steps ko carefully padhe
Step-1 Sabse Pahle aapko play store 2 apps download karni hogi.
Xorware 2G / 3G /4G Interface App
Xorware 2G / 3G /4G Switcher App
Step -2 Xorware 2G / 3G /4G Interface ko Open kare. haan aapko dono app install karni jaruri hai ni toh ye app work ni karegi
Step-3 Ab Aapko 2G mode network ko open krna h isko open karne ke baad 4G LTE select kare jaise ki aap pic me dekh skte hai
Step-4 Ab aapko 3G/4G mode ko open karna hai isme me bhi aap 4G LTE ko Select kare
Step-5 Screen ke Option Ke neece Delay Second to make Network Change" pr 17 Sec kare
Step-6 Ab kuch der process hone tak intzar kare aur apne phone ko restart kare
Step-7 Ap phone me jio sim lgaye jio network aapne me 1-2 hours lag skte hai
Dosto is tarike se aap kisi bhi 3G phone jio sim ko use kar skte hai. agar aapko ye post pasand aayi ho toh apne dosto ke sath share karna na bhoolen
Note- Ye trick only Knowledge ke purpose se btai gayi hai isse hone wale nuksaan se allhelpinhindi.com ki koi bi jimmedari nahi hogi
0 Comments
अपनी राय यहाँ पर दे