Dosto aaj ki post ham aapko jio ki sabse fast setting bata rahe hai. jisko use karke aap jio ki high speed pa skte hai.
aaj kal jyadatar internet user jio ka hi use kar rahe hai. aise me jio me slow speed bohat dekhi ja rahi hai. hame wo speed nahi mil paati hai jo hame milni chahiye. toh jio ki high speed kaise paye iski jankari aaj ham is post ke madhyam se aapse share kar rahe hai. muje ummed hai ki aapko ye post jarur pasand aayegi.
Dosto JIO kuch hi days me kafi popular ho chuka hai. kuch hi dino me jio ke bohat sare customers bhi ho gaye hai. is vajah se jio ki high speed nahi mil paa rahi hai. lekin agar apne smartphone me kuch advance settings kar liye jaaye toh aap jio ki high speed pa skte hai. dosto is post ke jariye aap jio ki speed ko 5MBPS tak kar skte hai aur High Speed Internet ka maza le skte hai.
Maine apni pichli post me btaya tha Agar aap jio ka naya connection lena nahi chahte hai to aap apne purane mobile no ko bhi JIO me port kar skte hai. agar abi tak aapne hamari ye post nahi padhi hai toh aap yahan se is post ko padh skte aur apne old no ko jio me port kar high speed internet ka maza le skte hai. toh dosto chalte hai aaj ki post ki taraf ki jio ki speed 5mbps kaise karein
Apne JIO Sim Card Ki Speed Ko 5 MBPS Kaise Kare...?
Dosto abi haal me hi jio ne ek new announcement ki hai jisme jio ne apne welcome offer ke baad aapko Happy new year offer dene ka decide kiya hai toh aap jio ke happy new offer ko 31 March 2017 Tak use kar skte hai. aur jio ke high speed internet ka maza le sktte hai. toh dosto jante hai ki jio me 5mbps ki speed kaise paye.
Jio me high speed internet ke liye aapko apne mobile me kuch settings karni hai. is settings me aapko access point name me APN ko change karna hai toh chaliye jante hai ise kaise change karein
STEP-1 Sabse pahle aap apne MOBILE SETTINGS me jaye
STEP-2 Ab MOBILE NETWORKS Select kare aur ACCESS POINT NAME ko open kare
STEP-3 Isko Open karne ke baad aapko APN ka option show hoga jaha par aapko JIODATA/JIONET pada hua milega. yaha par aapko ise delete kar airtelgprs.com enter karna hai.
STEP-4 Iske baad aapko bottom me BEARER ka option milega jisme aapko LTE select karna hai.
STEP-5 Ab aap settings ko save kar de.
aa koi bi file download karke dekhe aapko pahle se behtar speed milegi. aapko 5mb ya fir usse jyada ya kam bhi speed mil skti hai. ye aapke networks area me depend krta hai. lekin aapko pahle se jyada speed milegi. kyuki jiodata apn aaj kal bohat se log use kar rhae hai isliye speed kam milti hai.
I hope ki aapko ye post pasand aayi hogi. agar kuch bhi problem ho ya fir hame koi sujhav dena chahte hai toh aap comments ke jariye apni baat ham tak pahucha skte hai.
Read More Post Of JIO
0 Comments
अपनी राय यहाँ पर दे