Smartphone ke price kam hone ki vajah se aaj kal sabhi log smartphone ka use kar rahe hai. aise me ab ham jyadatar kaam apne smartphone se hi karte hai. jab hamare paas smartphone nahi tha tab ham apne kaam PC/Laptop se karte the aur jyadatar personal data hamare computer ya laptop me hi save hota tha lekin smartphone aane ki vajah ab ham apne personal kaam apne mobile se hi karte hai aur apni personal information mobile me hi save kar lete hai. aise me hame kuch tips use karne chahiye jisse ham apne personal data ko save kar skte hai.

Smarphone me ham apne documents, photos, contact details, mails rakhte hai. aise me sabse jyada khatra ye rahta hai ki kahi hamara data chori na ho jaye ya fir koi delete na kar de. toh iske liye hame apni phone ki secuirty ko strong karna chahiye jisse koi bhi hamara data chori na kar ske aur na hi delete kr ske. toh iske liye hame kuch rules follow karne hoge jissme ham smartphone ki secuiry ko strong kar skte hai. toh chaliye jaante hai smart phone me save personal data ko safe karne ke some tips.




ab kuch users ko aise hote hai jo apne phone ka paasword itna simple rakhte hai ki koi bhi phone ko asani se unlock kr skta hai. jyadatr log phone ke password 12345 ya fir 00000 set kar lete hai aur galti se bhi kisi ko phone mil jaye to sabse pahle wo yahi password ko try karta hai. isliye easy aur simple password ko kabhi bhi istemal na kare isse bhi hamare personal data chori hone ka khatra rahta hai. Isliye hmesha hame Strong password ko set karna chahiye jisse koi hamare phone ko asani se open na kar ske.


Mobile Me Save Personal Data Ko Safe Karne Ke Some Tips





Toh dosto yahan par mai aapko kuch tips bta raha hu jisse aap apne smartphone me save data ko safe rakh skte hai.

#1. Block BloatWare Android Apps

Android Phone ke liye hazaro me nahi balki caroro me apps playstore par mauzood hai. lekin sabhi apps par ham trust nahi kar skte hai ki ye app safe hi hai. bahut si apps aisi hoti hai jo hamare phone me save data ko hack kar leti hai aur hamari personals details ko chori kar leti hai.

 mai aapse ye nahi kah raha hoon ki sabi apps fake hi hoti hai. lekin kuch apps real me aisi hoti hai. jyadatar aisi apps launchers hoti hai jo hamare phone me automatic aisi apps ko install kar deti hai. iske baad fir hame unwanted popup ads dekhne ko milne lagte hai. aur jo aisi apps install hoti hai wo jyadatar details chori karne ke liye hi bnai jaati hai.





 isliye hame aisi apps ko block kar dena chahiye ya fir apne phone se inhe unistall kar dena chahiye. hamesha aisi apps ko hi apne phone me istemal kare jo trust karne ke layak ho aur jinhe log jyada use kar rahe ho.

#2. Download Android App By Play Store

Android apps ko download karne ke liye kai apps hai lekin aise apps me hamesha virus yukt hi apps milti hai jisse hamare data ke sath sath hamare phone ko bhi nuksaan ho skta hai. 

lekin play store me hamesh app malware free milti hai. kuch log paid app ko free me download karne ke liye aisi unwanted apps ko apne phone me install kar lete hai jaha par ham paid app ko free me download kar skte hai. 





lekin hame kabhi bhi aisi apps ko apne phone install nahi karna chahiye jisse hamare personal data ko chori hone ka khtra ho. isliye apps downloading ke liye hamesha play store ka hi istemal karein


#3. Use Face Lock Screen

Phone me data ko safe rakhne ke liye ham face lock screen ka istemal kar skte hai. face lock screen ko kaise use karein iski jaankari mai pahle hi aap de chuka hu. agar aap face lock screen ka use karege toh only aap hi apne phone ko open kar payege. aapke alava koi aur aapke phone ko use nahi kar skta hai. 

Lekin face lock screen sabhi mobiles phone me availble nahi hai. face lock screen aapko acche aur branded phone me hi milega. agar aap noramal phone me bhi facelock ko use karna chahte hai toh aap ye post padh skte hai.

Last Word For You

Dosto aaj ki post me maine aapko kuch tips btaye jisse aap apne android phone me save data ko safe kar skte hai. isliye aap in tips ko acche se follow karein. agar in tips ke alawa aapke paas bhi koi tips hai toh aap comments me share kar skte hai. 
Agar post pasand aaye toh ise social media me jarur share karein