Namaskar Dosto All Help In Hindi Me aapka Swagat hai. aaj ki post me ham bat kar rahe hai ki jio prime member ship kya hai aur jio prime me member kaise bane. dosto abhi haal hi me Mukesh Ambaani Ji apni ek aur new service ko launch kiya hai jisme aap Jio Happy New Year offer ko continue rakh skte hai aur is offer ka naam hai jio prime. ji haan dosto agar aap happy new year offer ko continue rakhna chahte hai toh aapko jio prime me member ship leni hogi iske baad aap 1 year se liye unlimted data, unlimted voice call, unlimted msg ka maza jaari rakh skte hai.
Agar aap jio prime ke member nahi bante hai toh aapko 31 March 2017 ke baad jio ke normally plans lene padege tabi aap jio me internet ka istemal kar skte hai. aur jio ke normally plans toh aapko pta hi hoge agar nahi pta toh aap yaha se jan stkte hai kyuki jio ke officialy plans mai aapko pahle ki posts me bta chuka hu. dosto kuch din pahle aisi news aa rahi thi ki 31 march ke baad hame apne jio sim me only 100 rs ka reacharge karna aur iske baad ham 30 june tak jio ke serviceka maza free me le skte hai toh dosto aisi koi bhi plan officially launch nahi kiya gya tha. haan dosto 21 feb ko mukesh ambani ji ne kuch plans ko launch kiya hai jisme JIO PRime sabse popular plan hai.
Toh dosto baate toh bohat ho gayi ab seedhe apni post me aate hai aur jaante hai ki jio prime ke member kaise bante hai. Jio Prime ke member banne ke liye aapko 1 March se 31 March tak apne jio sim me 99 Rs pay karke aap Jio Prime Ki Membership le skte hai. aur apne happy new year offer ko continue kar skte hai toh dosto ab ye jaante hai ki JIO Prime ke kya Advantage hai aur Kya Disadvantage hai.
Agar aap JIO Prime Me member ship lete hai toh fir iske baad aap permonth 303 rs ka apne jio sim me reacharge karke 30 GB data paa skte hai wo bhi full speed me ek din me aap 1GB data ka istemal kar skte hai jaise ki abhi tak aap use kar rahe the aur 1GB data ke baad aapki internet ki speed 128 KBPS ho jayegi.
- JIO prime me member banne ke liye aapko only 99 rs pay karne hai.
- Isme aapko 1 Year ki member ship mil rahi hai.
- 1GB daily free data milega
- Daily FRee unlimted Voice Call milegi.
- Other Opraters Se JIo ke plans behtar hai '
Disadvantage Of JIO Prime
- Agar aap JIO Prime Member Bante hai toh fir iske baad aapko data ka istemal ke liye 303 rs ka reacharge karna hoga
- Voice Call me abhi bhi bohat problems hai,
- Internet bhi speed ab jyada khaas nahi hai.
- Video Calls Me bohat problems hai.
Last Word For You
Dosto jahir si baat hai ki kisi bhi cheej ke agar kuch advantage hote hai toh kuch disadvantage bhi hote hai. lekin hame advantage ko hi dekhna chahiye agar kuch bhi ho jio me hame 303 rs permonth me unlimted data provide kar raha hai. abhi tak kisi bhi other companies ke plans aise nahi hai agar aap 1GB ka bhi reacharge karte hai tab bhi aapko 251 rs kharch karne padte the. lekin jio hame 303 rs me hi sab kuch unlimted de raha hai.
"दोस्तों आज की पोस्ट में मैंने आपको JIO Prime के बारे में पूरी जानकारी दी अगर आपके पास भी जिओ से सम्बंधित कोई भी सुझाव या जानकारी है तो आप कमेन्ट कर सकते है और अपनी जानकारी हमारे साथ साझा कर सकते है "
0 Comments
अपनी राय यहाँ पर दे