Kya aap bhi jaldi job paana chahte hai. aur aapko naukari nahi mil rahi hai. vese toh aaj kal badi badi degrees karne ke baad bhi acchi job milna mushkil hota hai. lekin kuch short term courses bhi hote hai. unse bhi aap ek acchi job paa skte hai. aur in courses ki duration bhi kam hoti hai. vese aaj kal job sabhi chahte hai har ek person job karna chahta lekin wo padhna bohat hi kam chahta hai. jyadatar log yahi sochte hai ki jald se jald job mil jaye bas fir life set.

Toh aise logo ke liye aaj ki post me ham aapko kuch aisi course batane ja rahe hai. jo aap bahut kam samay me complete kar skte hai. aur iske baad fir job ke liye kisi company me apply kar skte hai. aise courses ko short term course kahte hai.  

toh dosto ab mai aapka jyada time vest na karte hue seedhe apni post me aata hu aur apko btata hu. ki kaun se short term course hai jinhe karke ham jald se jald acchi sallary ki job paa skte hai.


Short Term Courses List Job Ke Liye


Dosto aaj kal degrees ke jagah diploma's ki jyada mang hai. aur diploma ke liye ham short term course kar skte hai.


1. Radio Jockey Certificate


Agar aapke andar bolne ka accha hunar hai. toh fir sabse accha certificate aapke liye radio jockey ka hi hoga. Radio jockey ka course 3 Months se 12 Months tak ka hota hai. isliye aap koi bhi duration ka course kar skte hai. agar aap 12 months ka course karte hai toh aapko college ki taraf se intership bhi karai jayegi. jisse job milne ke chances aur jyada ho jate hai. bas aapke andar iska hunar hona chahiye. kyuki radio jockey banne ka hunar sabhi ke andar nahi hota h. 


2. News Reading Certificate


Agar aapki acchi awaj hai. toh fir aap news reading ka certificate kar skte hai. news reading certificate ke baad aap kisi bhi news channel me apply kar skte hai. isme bhi aapko kafi acchi salary milegi. aur is course karne ki duration bhi jyada nhi hai.






3. Finance And Account Certification


Agar aapne B.Com kiya hua hai. toh fir ye course aap badi asani se kar skte hai. is course ki duration bohat hi kam hoti hai. ise aap only 4 weeks me kar skte hai. iski fees bhi jyada nahi hai. isme aapko finace aur accounts ke baare me sikhaya jaata hai.


4. Diploma In Hotel Management


hotel management me ek nahi bohat se diploma availabe hai. sabse jyada log housekeeping ka course karte hai. hotel mangement ke course 3 months se 2 year tak availale hai. aap apne hisab se koi bhi course select kar skte hai.






5. Animation & Multimedia Courses


Dosto sabse behtreen yahi course hai. haan iski duration jarur jyada hai. lekin aap isme bohat paisa kama skte hai. 12th ke baad bhi aap is course ko kar skte hai. 

Umeed karta hoon ye post aapko pasand aayi hogi. agar pasand aayi ho toh share karna na bhulein.