All Help In Hindi website ye un sabhi logo ke liye. jinko unke problem ke solutions nahi mil rahe hai. toh mere dosto aaj mai apke liye ek aisa topic laya hu. jise aap ek bar nahi bar bar padna chahege. "Agar Padhai Karne Me Man Na Lage Toh Kya Kare" ye ek aisa topic hai jo apko padhai  karne me help jarur karega. maine bohat se aise students ko dekha hai jo pura pura din books liye baithe rahte hai. lekin jab bhi unse koi kuch puch deta hai tab unko us waqt kuch bhi yaad nahi rahta hai. ya fir jab wo padne baithte hai tab unke dimag me duniya bhar na jane kaun kaun si  bate aane lgti hai. aur ham padhai pr dhyan nahi de pate hai, toh jinko bhi aise problems hoti hai unke aaj sabhi sawalo ke jawab is post me mil jayege.
Agar Padhai Karne Me Man Na Lage Toh Kya Kare

Agar Padhai Karne Me Man Na Lagne Ke Behtreen Tips
agar aap koi bhi exam dena hai. toh uske liye pahle aapko taiyari karni padegi. aise students ko ye bohat problem hoti hai. Jab bhi wo padhai karne baithte hai aur unka padhne me man nahi. lagta hai. iske liye sabse pahle apko ye pata karna hoga. ki apka padhai me man kyo nahi lag raha hai. iski kya vajah hai. jab tak apko vajah hi nahi pta hogi tab tak aap koi bhi results me nahi pahuch skte hai,

1- Padhai Me Man Na Lagne Ke Kuch Points Jo Aksar Logo Me Paye Jate Hai

    • Apke aas pas sahi mahol ka na hona
    • Apko padhai karne ke liye apke pas sahi chijo ka na hona
    • Sahi time par padhai na karna
    • Apne liye sahi guidence ko na chunna
    ye kuch importents point hai jo akasar logo me dekhe ja rahe hai. jitne bhi maine aapko points bataye hai wo jyadar students ko pareshan karte hai. Inme se sabse famous point hai sahi guidence na milna agar apko sahi margdarshan nahi mila hai toh aap apni life me kuch bhi nahi kar skte hai. iske liye aap apne liye sabse pahle ek accha guru dhoonde tabhi aap ek achhe students ban skte hai,.

    2- Apne Results Me Focus Na Kare
    Aksr aisa dekkha jata hai ki students apne result me jyada focus karta hai ki mera result kaisa ayega aur jab bhi padne baithta hai uske man me hamesha result hi rahta hai. ki last term me result aisa aaya tha ab kaisa ayega, isse bhi apka man padhne se hatne lagta hai,. aapke man n\me exam se related negative thouts aa jate hai. toh aapko kewal mehanat karnai chahiye na ki exam ke results ke bare me 
    bas aap apne goal par pura focus karo



    3- Apne Aap Ko Rakhe Refresh
    Agar aap jyada der tak padhai karte hai toh apko boriat mahsoos hone lagti hai iske liye aap kahi bahar ghoom kar aye. sabse accha idea hai ki apne dosto ke sath thoda time pas kar le aur iske baad fir padhai kare isse apkao padhai karne me kafi accha lagega aur apka man bhi lagega. iske sath sath aap mp3 ke sath sath study kar skte hai. lekin mp3 ka use aap maths me hi kare aap yaad karne wale subject me mp3 k use na kare



    4- Apne Study Material Ko Change kare
    Agar aap apna course padhte padhte bor mahsoos ho rahe hai. toh aap aur bhi magzine ya koi aur books bhi rakh skte hai. padhai karte waqt break ke beech me aap use padhe jise aapko achha mahsoos hoga aur padhne me man bhi lagega.

    Toh dosto aaj maine life hack ki post apke sath share ki agar apko ye post acchi lagi ho toh aap is post ko jyada se jyada share kare