Internet par aapko hazaro template mil jayege. lekin sabhi templates ka design accha nahi hota hai. sabhi template free bhi nahi hote hai aapko acche templates  ke liye hamesh acchi khasi rakam chukani padti hai. aap ye nahi decide kar pate ho ki kaun sa template hamari website ya blog ke liye theek rahega isi problem solution mai aaj aapke liye laya hu is post me mai aapko ye bataunga ki jo succes bloggers hai wo kaun sa template use karte hai jisse ki unka blog kafi accha dikhta hai.

is post se aap koi bhi website ke templates ka pata aasani se laga skte hai. iske liye aapko jyada kuch karne ki jarurat bhi nahi hai mai aapko step by step samjhaunga. jisse ki aapko jyada problem na ho 

Kaise Pata Kare Kisi Bloger Platform Ka Template
Blogger aur wordpress platform ke template pata karene ke alag alag tarike hai toh sabse pahle ham blogger ke template ko pata karna bataye ge kyoki blogger sabse popular platform hai aur iski service bilkul free hai jyadatar log ise hi use karte hai.
  • Aapko jis bhi blog ka template pata karna hai sabse pahle aap apne chrom browser me us blog ko open kare
  • Ab aap mouse ki right button par click kare
  • ab apko view page saurce ka option dikhai dega us par click kare
  • ab aapke samne HTML code ka ek page new window me khulega
  • Ab aap  Ctrl+F press karna hai ab apko search box dikhega 
  • Search Box me aapko Blogger Template Style type kare 
  • aapke samne ab template ki sari detail aa jayegi jasie ki template ka naam template ka version and other details 
WordPress Blog Ki Theme Ka Pata Kaise Kare
Kuch loh wordpress ko jyada pasand karte hai aur blogger ke baad wordpress duniya me sabse jyada use ki jati hai toh iske template ki jankari hame honi chahiye toh aaiye jante hai ki word press blog ki theme kaise pata kare

  1.  Sabse Pahle aap ko www.wpthemedetector.com par jana hai
  2. aapko jis wordpress blog ki theme pata karni hai us blog ka url aap enter kare 
  3. Url enter karne ke baad click kare jaise hi ap click karege aapke samne sari details aa jayegiu
  4. Apke samne jo bhi theme ka name aata hai aap use google me search karke theme ko download kar skte hai.

ab samay hai aap logo ko ye batane ka ki kasi lagi  ye post isse aap  kisi bhi blog ki jankari aasani se pa skte hai