Aaj kal android phones hamare jeevan ka ek bohat aham hissa ban chuka hai. aaj kal ham computer wale kaam android se hi karte hai. isi chakkar me ham apne android mobile ko safe rakhne ki kosisi karte hai. safe rakhne ke liye aap jyadatar apne phone me pattern lock ka use karte hai. taki koi apka phone open na kar ske. isi chakkar me ham kabhi kabhi apna pattern bhi bhool jate hai. jisse hamko kafi problems hoti hai. jab hamare sath aisi problem hoti hai tab ham askar kisi mobile reparing shop ya computer shop me jakar apne mobile ka pattern unlock karwate hai. is chakkar me hamara kafi samay to waste hota hi hai aur iske sath sath wo hamse kafi paise bhi le lete hai. toh aaj ki post me mai apko yahi bataunga ki agar aap roj roj pattern change krne ke chakkar me pattern bhool gaye hai. toh aap pattern ko badi aasani se unlock kar skte hai.

Android Lock Kitni Tarah Ke Hote Hai?



Sabse pahle aapko ye jan lena bohat jruri hai ki ki android me lock kitni tarah ke hote hai. vese android me lock 3 tarah ke hote hai.

(i) Pattern 
(ii) English Keyword
(iii) Math word

agar aap english ya math words ka use karke lock set karte hai. toh aap apne phone me kitni bhi bar galat keyword dale apka phone hamesha ke liye lock nahi hota hai. 
lekin agar baat pattern ki kee jaye toh agar aap 6-7 bar wrong pattern dalte hai. toh apka phone hamesha ke liye lock ho jata hai. aur apko kisi mobile reparing shop ya computer shop me le jakar usko unlock karwana padta tha. lekin ab aapko kisi bhi shop me jane ki jarurat nahi hai. ye kam aap khud kar skte hai wo bhi badi aasani se.





Computer/Laptop Me Android Apps Kaise Use Kare


Android Mobile Ka Pattern Kaise Unlock Kare Without Gmail & Internet

Step-1 Sabse pahle aap apne android phone me Power On Off + Volume Down ki buttons ko ek sath press kare.

Step-2 Buttons ko aap 5-6 second tak press karte rahe. 5-6 second ke baad apke samne aisi picture open hogi.

Step-3 Ab aap Volume Button ki help se "Wipe Data/Factory Reset" par aaye. aur Power Button ko press kare.

Step-4 Press karne ke baad apka phone reset hona start ho jayega. aur apka pattern unlock ho jayega.

Note- jab aap apne phone ko reset kare. uske pahle aap apne memory card ko phone se bahar nikal le. aur phone reset hone ke waqt aap phone ko off ya phone ko battery ko bahar na nikale. agar aap aisa karte hai toh apka phone dead ho skta hai.

Last Word

toh dosto aaj ki post me maine apko bataya ki agar aap apne phone ka pattern bhool gaye ho toh use bina gmai account ke kaisi unlock kare. ye trick jyadata phones me kam karti hai. agar apke phone me ye trick work nhi kar rahi hai. toh aap kisi mobile shop me jakar apne phone ke pattern ko unlock karwa skte hai. Agar aapko kuch bhi problem ho rahi ho toh aap comment karke apna question pooch skte hai.

Hamari Aur Post Bhi Padhe






Kitkat Ko Lolipop Me Update Kaise Kare In Hndi







Android Mobile Se Paisa Kamane Ke 5 Best Applications