Kya aap unlimted 4 G internet ka maza lena chahte hai wo bhi 3 month tak. sabhi ka answer yes hi hoga kyuki india me 3G aur 4G data packs itne mahnge hai. ki ham ek limit me hi internet ka use kar pate hai. isliye aaj  ham apko ek aisa offer bata rahe hai jisse aap 3 month tak unlimted 4g internet ka use kar skte hai. shayad jio naam toh apne suna hi hoga aaj kal har jagah isi ki charcha ho rahi hai ki jio sim hame kaise milegi aur ye kaha milegi aur kab tak ham free internet ka use kar skte hai. toh aaj mai apke sabhi sawalo ke jawab duga bas aap is post ko end tak padte rahiye. 






jyadatar states me jio service launch ho chuki hai. aur iske kafi customers bhi ho chuke hai. Jio ne sabse pahle apni partnership LYF company ke sath ki thi. jisme jio sim use karne ke liye apko LYF ka set buy karna hota tha. lekin ab jio ne samsung aur apple ke sath bhi partnership ki hai. samsung aur apple ke kuch sets me aap jio sim ka use kar stkte hai. Lekin aaj mai apko iske sath sath ek aisi trick btane ja rha hu jisme aapko koi bhi 4G set me jio sim badi aasani se use kar skte hai. bas aap is post ko end tak padhte rahiye.




Lekin agar aap samsung aur apple phone me jio sim use karna chahte hai. toh aap inme se koi bhi phone buy kar skte hai. aur isse jio se le skte hai.

Samsung JIO Offer Phone List


  • Galaxy S7, Galaxy S7 EDGE
  • Note 4, Note 5 Note5 Dual Sim & Note EDGE
  • A5, A7
  • Galaxy S6 Galaxy S6 EDGE, Galaxy S6 EDGE+
Apple Iphone JIO Offer Phones List

  • Iphone 6 
  • Iphone 6S
  • Iphone 6S Plus
  • Iphone SE
Samsung Aur Apple Ke Liye JIO Sim Kaise Le

Dosto samsung aur apple phones ke liye koi bhi trick nahi kyuki company ki iske sath khud partnership hai.  aur samsung aur apple ke phone ke liye jio sim lene ka bohat hi chhota sa tarika hai jise ham apko 2 sTeps me samjha rahe hai.

Step-1 Sabse pahle apne samsung phone ko open kare aur my jio app apne phone me install kare. iske baad fir apko kuch apps aur install karne ko kahega aap ek ek karke sabhi apps install kare ya fir aap install all par click karke ek sath sabhi app install kar skte hai. jab sabhi apps apke phone me install ho jaye. iske  baad aap jio app ko close karke ek bar phir se open kare ab aapko GET JIO SIM CARD ko option show hoga.





Step-2 Ab GET JIO Sim CARD pr click kare ab apko jio preview offer code dikhai dega. is code ko aap kahi note kar le ya fir iska acche se screenshot lekar save kar le. fir iske baad aapko ye code lekar jio store par jana hai. aap najdeeki jio store par is code ko lekar jaiye aur ek id proof aur ek photo submit keejiye. iske baad jab apko jio sim card mil jaye fir apko 1977 par call karke sim ko verify karna hai. 10 min baad apki sim activate ho jayegi aur aap free internet ka maza le skte hai. wo bhi 3 month tak

Toh dosto ye steps the samsung jaise phones ke liye. agar aap samsung aur apple ka phone nahi lena chahte hai. tab bhi aap jio sim le skte hai. lekin jio sim use karne ke liye apke paas 4G Set hona chahiye.





Sabhi Phones Ke Liye Jio Sim Kaise Paye


sabhi sets me jio sim use karne ki bohat hi simple si trick hai. is trick ko aap use karke kisi bhi 4G set me jio sim pa skte hai. aur 3 month tak unlimted internet ka maza le skte hai. is liye is trick ko pahle dhyan se samjhe tabhi ise use kare. kyuki agar isme thodi si bhi mistake ho gayi tab aapko jio sim nahi milegi.

FACEBOOK ME FAKE ID KA KAISE PATA KARE HINDI ME JAANE



  • Sabse Pahle apko apne 4G set me My Jio App Install karna hai. aap play store se ya fir yaha se install kar skte hai.

  • Ab JIO App ko open kare iske baad apko kuch apps install karne ke option dikhai dega. aapko sabhi apps apne phone me install karne hai. isliye phone ki memory thodi free rakhe taki apps install karne me koi problem na aaye.

  • Jab sabhi apps install ho jaye. iske baad aap apne Phone Ka Data Connection/Wi-Fi Off ka de.
  • Ab Phone ko restart kare.
  • Phone restart hone ke baad ab My Jio App Open Kare. Lekin abhi bhi apko Data Connection/Wi-Fi nahi open karna hai. Aap bina data connection open kiye hi My Jio App open kare.
  • Ab aapko Error Ka msg Show hoga kyuki aap bina internet connection ke jio app open kar rahe hai.
  • Ab aapko Get Jio Sim Ka option dikhai dega. is option par Tap kare abhi bhi aapko error show hoga kyuki data connection off hai.
  • Ab Data Connection/Wi-Fi on kare
  • Ab Dobara Se My Jio App Open Kare aur Get Jio Sim Par click kare ab aap preview offer ke liye select ho gaye hai.
  • Bs fir kya ab aap location select kare. aapko wo hi city select kare jaha par aap rahte hai.
  • Itna karne ke baad next button par click kare ab ek Code Generate Hoga. ye code automatic apke phone me save ho jayege. lekin aap ek bar sCreenshot jarur le le.
  • Ab Jio Store par jaiye aur apne documents complete keejiye aur code ko bataiye waha se apko jio sim mil jayega.

Warning- Agar jio store me apse pucha jaye ki apke pas kon sa phone hai toh apko samsung ya apple me se koi ek batana hai. agar apne usse ye kah diya ki mera ko dusra phone hai. tb jio store se aapko sim nhi milegi. isliye is baat ka vishesh dhyan de.

Dosto mai apse yahi aasha karta hu. ki aapko Jio Simcard buy karne ki ye trick jarur pasand aayi hogi. aap hamari post social media me share karna na bhule.