Aaj ki post me hum baat kar rhe hai ki apne android phone ko iphone me kaise change karte hai. ji haan dosto!! aaj kal sabhi iphone ka shaukh rakhte hai lekin iphone ki price itni jyada hone ki vajah se hum isko nahi le paate hai. toh dosto iphone ke fans ke liye aaj hum aapko ko ek aisi trick batane ja rahe hai jisse aap iphone ka maza aap apne android mobile me hi le skte hai.
Agar aap sabse sasta iphone hi buy karege toh uske liye bhi aapko 26000 rs kharch karne pad skte hai. lekin agar aap sabse sasta android phone buy karte hai toh uske liye aapko only 2500 rs hi pay karne padege. google play store me kuch aise apps aa gaye hai jinki madad se aap apne android phone ko hi iphone jaisa look de skte hai.
dosto aaj hum aise hi apps kie baare me details se janege aur seekhege ki apne android mobile me in apps ko kaise use karte hai toh isliye dosto post ko end tak padhte rahiye.
dosto maine apne pichle video me bataya tha. agar aap online internet radio station create karna chahte hai toh online radio kaise shuru kar skte hai. jii haan dosto is video me maine aapko complete proccess bataya hua ki online radio ki ghar baithe shuruvat kaise karte hai agar aapne abhi tak hamara ye video nahi dekha hai toh aap yaha par click karke ise dekh skte hai.
Google Search Console Me Targeting Country Kaise Set Kare Puri Jankari
Android Phone Ko Iphone Me Kaise Change Karein..?
Dosto android phone ko iphone me change karne ke liye aapko jyada kuch karne ki jarurat nahi hai bas ek simple si app aapko apne phone me install karni hai. bas uske baad aapko kuch steps ko follow karne hai.
STEP-1 Sabse pahle aap play store me jayein aur Clean UI Launcher ko Install karein.
STEP-2 Ab Launcher Ko Open karein.
STEP-3 Ab aapko ise activate karna hai.
STEP-4 Ab aapko ise default launcher set karna hai.
default laucher set karne ke liye aap home button par click karein iske baad Set Always ko select karein.
dosto ab aapka iphone launcher activate ho chuka hai.
Clean UI ke alawa bh bohat se acche launchers play store me availabe hai jinhe aap try karke dekh skte hai.
0 Comments
अपनी राय यहाँ पर दे