Kya aap unlimted 4 G internet ka maza lena chahte hai wo bhi 3 month tak. sabhi ka answer yes hi hoga kyuki india me 3G aur 4G data packs itne mahnge hai. ki ham ek limit me hi internet ka use kar pate hai. isliye aaj ham apko ek aisa offer bata rahe hai jisse aap 3 month tak unlimted 4g internet ka use kar skte hai. shayad jio naam toh apne suna hi hoga aaj kal har jagah isi ki charcha ho rahi hai ki jio sim hame kaise milegi aur ye kaha milegi aur kab tak ham free internet ka use kar skte hai. toh aaj mai apke sabhi sawalo ke jawab duga bas aap is post ko end tak padte rahiye.
jyadatar states me jio service launch ho chuki hai. aur iske kafi customers bhi ho chuke hai. Jio ne sabse pahle apni partnership LYF company ke sath ki thi. jisme jio sim use karne ke liye apko LYF ka set buy karna hota tha. lekin ab jio ne samsung aur apple ke sath bhi partnership ki hai. samsung aur apple ke kuch sets me aap jio sim ka use kar stkte hai. Lekin aaj mai apko iske sath sath ek aisi trick btane ja rha hu jisme aapko koi bhi 4G set me jio sim badi aasani se use kar skte hai. bas aap is post ko end tak padhte rahiye.
Lekin agar aap samsung aur apple phone me jio sim use karna chahte hai. toh aap inme se koi bhi phone buy kar skte hai. aur isse jio se le skte hai.
Samsung JIO Offer Phone List
- Galaxy S7, Galaxy S7 EDGE
- Note 4, Note 5 Note5 Dual Sim & Note EDGE
- A5, A7
- Galaxy S6 Galaxy S6 EDGE, Galaxy S6 EDGE+
- Iphone 6
- Iphone 6S
- Iphone 6S Plus
- Iphone SE
Sabhi Phones Ke Liye Jio Sim Kaise Paye
FACEBOOK ME FAKE ID KA KAISE PATA KARE HINDI ME JAANE
- Sabse Pahle apko apne 4G set me My Jio App Install karna hai. aap play store se ya fir yaha se install kar skte hai.
- Ab JIO App ko open kare iske baad apko kuch apps install karne ke option dikhai dega. aapko sabhi apps apne phone me install karne hai. isliye phone ki memory thodi free rakhe taki apps install karne me koi problem na aaye.
- Jab sabhi apps install ho jaye. iske baad aap apne Phone Ka Data Connection/Wi-Fi Off ka de.
- Ab Phone ko restart kare.
- Phone restart hone ke baad ab My Jio App Open Kare. Lekin abhi bhi apko Data Connection/Wi-Fi nahi open karna hai. Aap bina data connection open kiye hi My Jio App open kare.
- Ab aapko Error Ka msg Show hoga kyuki aap bina internet connection ke jio app open kar rahe hai.
- Ab aapko Get Jio Sim Ka option dikhai dega. is option par Tap kare abhi bhi aapko error show hoga kyuki data connection off hai.
- Ab Data Connection/Wi-Fi on kare
- Ab Dobara Se My Jio App Open Kare aur Get Jio Sim Par click kare ab aap preview offer ke liye select ho gaye hai.
- Bs fir kya ab aap location select kare. aapko wo hi city select kare jaha par aap rahte hai.
- Itna karne ke baad next button par click kare ab ek Code Generate Hoga. ye code automatic apke phone me save ho jayege. lekin aap ek bar sCreenshot jarur le le.
- Ab Jio Store par jaiye aur apne documents complete keejiye aur code ko bataiye waha se apko jio sim mil jayega.