Hello dosto aaj ham aapko ek aisi jankari de rahe hai. jisse aap kisi bhi android app ka icon badi asani se change kar skte hai. agar aap android app ke icon dekh kar bor ho chuke hai toh is post ke jariye aap kisi bhi android app me apna manpasand icon set kar skte hai. I mean android app me custom icon set kr skte hai. Vese toh aapne icon change karne ki bohat se post padhi hogi aur sabhi post me yahi btaya jata hai ki icon change karne ki liye sabse pahle aapko apne phone ko root karna padega lekin aaj ham aapko aisi trick btayege jisme aapko phone ko root karne ki jarurat nahi hai
Aap bina phone root kiye hi custom icon set kar skte hai. Iske liye aapko Lucky Patcher app ki bhi koi jrurat nahi hai.
android custom icon change karne ke liye bas aapko simply ek play store se app download karna hai bas fir kya aap badi asani se icon change kar skte hai.
agar apke phone me Facebook app hai aur iska icon aap change karna chahte hai mtlb aap isme apni pic bhi set kar skte hai. toh chahliye dosto chalte hai apni post ki tarf aur seekhte hai ise kaise use karte hai.
Kisi Bhi Android App Ka Icon Kaise Change Kare
dosto android me custom icon set karna hai bohat hi easy hai bas aap hamare btaye gaye steps ko achhe se follow kare aur apna manpasand custom icon change kare