kai baar aisa hota hai ki hum kisi chhote stations me hote hai aur train kafi late hoti hai aisi conditions me hume ye nahi pata chal paata hai ki train platform par kab ayegi. bade stations me toh hum enquiry kar lete hai lekin jo mini stations hote hai village towns ke stations me bahut hi jayad pareshani hoti hai lekin aaj ki post ko read karne ke baad aapko sari pareshani dur ho jayegi. aap badi hi asani se train ki timing pata kar payege apko bilkul fix timing pata chal jayegi ki train plat form par kitne baje aane wali hai.
Train स्टेशन पर कितने बजे आएगी कैसे पता करें
1. Sabse pahle aapko railway ki official website me jaana hai.
2. Agar aap apne mobile me website ko open karte hai toh aapko mobile version ki website dekhne ko milegi.
3. Mobile version ki site me aapko corner me 3 lines dekhne ko milegi
4. 3 lines par aapko click karna hai. click karne ke baad menu options open hoge
5. Menu options me aapko Live Station option ko select karna hai
6. Live Station option ko select karne ke baad aapko ek new page dekhne ko milega
7. Isme aapko Going to Staion aur Current station ko seleck karna hai.
8. Select karne ke bad aapko GO par click kar dena hai. Go par click karne ke baad trains ki timing dikhai de jayegi.
Umeed karta hu aapko jankari pasand aayi hogi. agar aapko padh kar smjhne me problem ho rahi hai to aap is video ko dekh skte hai.