Valentine day ka apna ek alag hi mahatva hai do pyar karne wale ise romantic tarike se celbrate karte hai, valentine day ko hum pyar karne wala din ke naam se bhi pukarte hai. pyar karne wale humesha is din ka wait karte hai. Sabse pahle hum ye jaante hai valentine day kyu manaya jaata hai…?
Valentine Day Kyu Manaya jata hai…?
Bahut sal pahle ek sant hua karte the jinka naam tha valentine. ROM me teesri sadi me ek raja hua karta tha jinka naam tha Cladias. cladias raaja ka manna tha ki agar koi bhi purush shaadi karta hai to shaadi karne ke baad uski shakti aur buddhi kam ho jaati hai ya fir bilkul khatm hi ho jaati hai. isliye usne apne rajya me aisa ghosna karai thi ki koi bhi sainik shaadi nahi karega. lekin sant valentine iske virodh me the, unhone ek mission start kiya aur sabhi sainiko ko smjhaya ki wo shaadi karein, aur dhire dhire sant valentine ne kai sainiko ki shaadiya karva di, ye baat Cladias ko pasand nahi aayi kyuki wo iske virodh me thi. isliye raja cladias ne 14 Feb 269 me sant valentine ko phansi ki saza de di, aur isi din valentine ko phansi ho gyi. isi ki yaad me hum har 14 Feb ko valentine day manate hai. ab toh aap samjh hi gye hoge ki valentine day ka kya itihas hai aur ise hum kyu celebrate karte hai
Maane to pyar karne walon ke liye sabhi din khaas hote hai. lekin ye din kuch jyada hi khas hota hai. is din bahut se aise pyar karne wale hote hai jo man hi man pyar karte hai aur apne partner ko apni man ki baat nahi bata paate hai lekin valentine day ko wo izhaar bhi kar dete hai. is din bahut si jodiya banti hai.
Kai Countries me ise kafi jyada dhoom dham se celebrate kiya jaata hai
Valentine Week
Ab hum isko valentine week me bhi celebrate karte hai. valentine week ki starting 7 Feb se hoti hai aur 14 Feb tak chalti hai. 7 feb se 14 feb tak hum ise alag roop me celebrate karte hai to aaiye jaante hai kis din kya celebrate karte hai…
7 February – Rose Day
8 February – Propose Day
9 February – Chocolate Day
10 February – Teddy Day
11 February – Promise Day
12 February – Hug Day
13 February – Kiss Day
14 February – Valentine’s Day