Hello Dosto! Aaj ham whatsapp ki ek aisi trick btane ja rhe hai. Jo aapke liye jarur helpful sabit hogi. Aap whatsapp me bina crop kiye pic ko apni DP set krna chahte hai. Toh is post ko end tak padhte rahiye. Kyuki is post me ham aap yahi trick bta rahe hai. Aap whatsapp me apni profile pic set karte hai aur cropping ki vajah se aapki photo poori tarah se nahi aa pati hai. Photo me kuch hissa cut ho jata hai. Kabhi kabhi toh aisa hota hai ki aapki photo's me important hissa nahi aa pata hai. Jo aap apne friends ko dikhana chahte hai.

Aap agar bina crop kiye pic set karna chahte hai toh iski trick aaj hum aap btayege. Whatsapp me ye feature toh nahi hai lekin hum third party apps ki help se whatsapp me bina cropping ke image set kar skte hai. Dosto aaj jo app hum aapko btayege wo whatsapp ke alawa aur bhi social sites me kaam karta hai toh ham baat kr rhe the whatsapp me bina crop  kiye pic set kare.




Whatsapp Me Full Size Me Profile Picture Kaise Set Kare

Full size me pic set karne ke liye aap Third Party App SquareDroid ki jarurat padegi is app use kar aap bina crop kiye pic set kar skte hai Is app ka use kaise kare iski jankari ham aapko Step By Step Denge.



Step-1 Aap Play Store Me Jakar SquareDroid app ko download kare ya fir yaha click kare

Step-2 App Ko Imstall Kare Aur open kare. Iske ander aapko kuch option show hoge. Ab Isme "Pick Photo" par click kare

Step-3 Jo bhi pic apkp set karni ho wo select kare

Step-4 Ab pic apne aap Crop ho jayege aur usme cut bhi nahi lagege. Ab Save par click kare 

Step-5 Ab Whatsapp Me Pic set kare ab bina ek bhi cut lage apki pic set jo jayegi.

Last Word For You

Toh dosto hai na whatsapp me bina crop kiye profile pic set krna kitna easy hai. Aap ise badi asani se kar skte hai. Ab aapki pic me koi bi cut nhi lagega bina cut kiye full size me pic set kar skte hai

I hope ki ye article apko pasand aaya hoga. Aap ise apne dosto ke sath jarur share kariye isse unko bhi ye jankari mil ske.