Youtube world me sabse jyada popular platform hai. agar hame kisi bhi tarah ki video dekhni hoti hai. ham simply youtube seach kar dekh lete hai. Youtube hame sabhi tarah ki videos provide karvata hai chahe wo comedy ho buissness professional tv serial movies aur bhi bohat si categories ki video ham youtube me badi asani se dekh skte hai. Youtube me ham khud ka ek channel banakar use badi easily monetize kar skte hai aur money earn kar skte hai. isliye youtube world me no 1 platform ban chuka hai. lekin kuch countries me youtube banned hai waha par ham youtube ka istemal nahi kar skte hai toh aaj ham aapko 5 best youtube alternatives btane ja rahe hai. jo bilkul youtube ki tarah hai. 

In alternatives se ham sabhi tarah ki video dekh skte hai. ye bhi same youtube ki tarah hai. ye unke liye accha rahege jin countries me youtube banned hai. lekin india me bhi bohat se log in platform ka hi use karte hai videos dekhne hai. inhe use karna bohat hi easy hai ise aap bilkul youtube ki tarah use kar skte hai aur apni pasand ki video isme dekh skte hai. toh aaiye jante hai kaun se hai ye 5 best alternatives 


Top 5 & Best Youtube Alternatives

Dosto inme se kuch platform ko poori tarah se use karne ke liye aapko inke plans buy karne pad skte hai. lekin agar aap aise fun ke liye use kar rahe hai toh aap inke free plan ko use kar skte hai. jisme aapko kafi acchi videos dekhne ko mil jayegi









1. Dailymotion
Daily motion ek popular video service hai,. ye bilkul youtube ki similar hai. isme ham kisi bhi tarah ki videos search kar dekh skte hai. isko use karne ke liye apko koi bhi plans lene ki jarurat nahi hai ise aap free me use kar skte hai. isme youtube ki tarah ham dusre videos me comment bhi kar skte hai. dailymotion hum 18 languages me use kar skte hai. aur isme youtube ki tarah apna channel create kar 4GB tak ke videos upload kar skte hai. 

2. Amazon Instant Video
Dosto ye bhi same youtube ki tarah hai. lekin isme aapko sabhi videos ki categories milegi is hisab se aap videos serach kar skte hai. isko use karne ke liye sabse pahle aapko isme sign up karna padega. tab aap ise use kar skte hai. lekin isme videos dekhne aur download karne ke liye aapko pay karna pad skta hai. kyuki isme sabhi videos free nahi hai. lekin ye bhi ek accha platform hai. world me ise bhi sabse jyada log use karte hai.

3. Vube
Vube kuch years me hi bohat jyada popular ho chuka hai. vube ki 2013 me start hua hai. ye bhi bilkul youtube ki tarah hai. isme ham koi bhi videos free me dekh skte hai aur download bhi kar skte hai. ye hamko apna khud ka channel create karne ki bhi suvidha deta hai isme ham apna free account create kar apni videos upload kar skte hai. 





4. Vimeo
Dosto vimeo.com ek paids service hai. lekin isme account create karne ke baad ye hame 30 days ka free trial deta hai. 30 days ko ham free use kar skte hai. agar hume pasand aaye toh fir ham iska plan le skte hai. ise world me 45 billion log use karte hai. ye ek sabse popular paid video service hai. 30 days ka free trial ke baad $60 per year pay karne padege. aur haan isme apko video on demand ki bhi service milegi.




5. Hulu
Hulu me bhi ham sabhi videos dekh skte hai. lekin iske liye hame $8 permonth pay karne padege. isme ham sabhi tarah ke full tv shows dekh skte hai. movies dekh skte hai. aur bhi sabhi categories ki videos isme available hai isliye ye bhi kafi acchi video service hai. 


Dosto aaj maine youtube ke best alternative bataye agar apko post pasand aayi ho toh ise jarur share kare.