Namskar Dosto! aaj ki post me ham aapko bta rahe hai ki apne laptop ya fir computer pc ke liye 1 year ka free antivirus kaise payein. dosto agar aap is offer ki jankari chahte hai toh is post ko end tak padhte rahiye. Apne computer ya fir laptop ko hacking se bachane ke liye ek accha antivirus apne pc me install karna bohat hi jaruri hota hai. lekin agar aap antivirus buy karte hai toh aapko aprox 1000 Rs kharch karne pad skte hai. aur kuch antivirus aise bhi hote hai jo free hote hai toh aise antivirus jyadatar work nahi karte hai. toh dosto aaj ki post me mai apko ek aise antivirus ke bare me btaunga jo free bhi hai aur working bhi hai ise aap apne system me 1 Year tak free me use kar skte hai. kuch antivirus aise bhi hote hai jo trial period ke hote hai aur 1 ya fir 2 month baad bar bar buy karne ka notification send karne lagte hai isse hame kafi irritation bhi hoti hai toh ab aapke samne aisi condition kabhi bhi nahi aayegi aap badi easily se is post ke jariye apne pc me 1 year tak free me antivirus ka use kar skte hai aur apni privacy secure kar skte hai.

ye antivirus aapko dusre device se aane wale malware se suraksha karta hai. ab aap koi bi device bina tention ke apne pc se connect kar skte hai. kyuki jo bhi malwares hai wo ye antivirus remove kar dega aur aapke pc ko healthy kar dega. isse aap apne poore system ki free me scan kar skte hai aur jo temporay files hai ya fir junk files hai unhe aap remove kar skte hai. toh  dost jante hai ki free me antivirus kaise payein.




Adhaar Mirco ATM: आधार कार्ड से पैसे ट्रान्सफर कैसे करें या फिर आधार एटीएम से पैसे कैसे निकालें


Dosto maine apni pichli post me btaya tha ki agar aap ek airtel user hai toh apne airtel mobile no par 1 month ke liye free 1GB 4G data paa skte hai agar aapne abhi tak ye post nahi padhi hai toh aap yaha par click karke ye post padh skte hai.


अपने PC या Laptop के लिए 1 साल का फ्री Antivirus कैसे पायें !!!





Dosto is Antivirus ka naam hai Avast Antivirus ise aap apne pc me install kar skte hai. aur 1 year tak ise use kar skte hai. lekin ise 1 year tak free me activate kaise karna hai iski jankari ham aapko neeche ke steps me bta rahe hai. toh chaliye dosto suru karte hai.

  • Sabse pahle aap Avast ki site me jakar apne pc me antivirus install karein 

  • iske Baad aap avast ki site me jaye aur waha par aapko ek registration form milega jise aapko fill karna hai.
  • Aap Registration karne waqt aapko sahi se email id dalni hai. 
  • 30 Minute baad apki email id me activation key send kar di jayegi.
  • Ab aap is activation key se 1 year ke liye antivirus ko activate kar skte hai.

Toh dosto hai na kitna easy ise aap badi asani se kar skte hai. agar aapko kuch problems ho rahi ho toh aap comments ke jariye apni problem hamse share kar skte hai.