MX Video player bohat hi simple aur best video player hai. bahut kam hi log aise hoge jo mx video player na use karte ho. jab se android market me aaya hai tabhi se mx video player app bhi launch hua. iski popularity ki vajah hai ye ye kisi bhi tarah ke video ko simple se simple phone me play kar deta hai. kuch android phone aise hote hai jo sabi tarah ke videos ko support nahi karte hai toh mx player ki help se aap aise videos ko aap apne android phone me play kar skte hai. iske sath sath aapko mx player me bohat se helpful tools diye jaate hai.





MX player me aap apne hisab se video ka size kam ya jyada kar skte hai. agar aap video ko zoom karke dekhna chahte hai toh ye suvidha bhi apko mx player me mil jaati hai. toh dosto aise bohat se features hai jo mx player me available hai. toh dosto ye th ho gayi mx player ki basic knowledge toh ab mai aapka jyada samay na lete hue seedhe apni post me aata hoon. dosto aaj ki post me mai aapko bata raha hoon ki mx video player kisi bhi video ko kaise hide karte hai.

Kai baar aisa hota hai ki kuch personals video hamare phone me hote hai aur ham nahi chahte hai ki ye videos koi aur dekhe lekin mx video playe sabhi videos show hone lagte hai chahe wo external memory me ho ya fir internal memory me aise me kuch log mx player me pattern lock ya fir secuirty lock set karke rakhte hai kuch log to aise hote hai ki hamare videos koi dekh na le wo mx player hi apne phone se unistall kar dete hai. toh dosto ab aapko aisa karne ki koi bhi jarurat nahi hai. ab aap badi hi easily apne videos ko hide kar skte hai. toh aaiye seekhte hai ki videos ko kaise hide karte hai.






How To Hide Video On MX Video Player


Dosto iske liye ham aapko step by step jaankari dege. isliye aap hamare btaye gaye steps ko accche se follow kare agar fir bhi kuch problem hoti hai toh aap comments me hame bata skte hai.





STEP-1 

Sabse pahle Mx player app ko open karein. AGar aapke phone me mx player nahi hai toh aap simply play store se download kar skte hai.

STEP-2

Ab aapko wo video ke folder ko open karna hai jinhe aap hide karna chahte hai. ab aap folder ko open kare aur jis bhi video ko hide karna hai, us video ko thodi der press karein.

STEP-3 

ab aapko EDIT icon ka option show hoga. edit option par tap karein

STEP-4

Ab Video ko Rename karna hai. Rename me aapko jyada kuch nahi karna hai. bas video name ke aage ek . (DOT) lagana hai. . (DOT) lagate hi aapka video hide ho jayega.


STEP-5 

Ab is video ko open karne ke liye aapko file managar me hi jaana hoga.






Final Words

Dosto umeed karta hu ye article aapko pasand aaya hoga. ab aap badi hi asani se koi bi video ko mx player se hide kar skte hai. article pasand aaya ho toh share karna na bhoolein. ab jald hi milte hai ek naye interesting se topic ke sath.