JIO JIO JIO !!! bas aaj kal jio ka hi bolbala chal raha hai. jaha dekho wahan jio jio jio. ji han dosto iski ye vajah hai ki jio ke itne saste plans. jis rate me hame only 1 GB data milta tha. us rate me jio hame 28 gb data de raha hai aur sath me free calling bhi. yahi vajah hai jio itni jaldi itna popular ho gaya. toh chalo ye sab bate toh hoti hi rahegi. to aaj ki post me mai aapko bta raha tha jio ke naye plan ke bare me jisme aap 810 GB data 14 months tak ke liye paa skte hai. vese agar dekha jaye toh 810 gb data bohat jyada hi hota hai. hame ise 14 months me kya 2 year me bhi nahi use kar payege.
Toh aaj ki post me mai aapko jio ke is naye shaandar plan ke bare me bta raha hoon. vese agar baat ki jaye 3G data ki toh 3G data sabse kam rate me hame BSNl provide karva raha hai. jisme aap 339 rs me 2GB daily free data pa skte hai. month me aap 56 GB data ka use kar payege.
Toh ye toh baat ho gayi bsnl ki. lekin aaj ham is post me jio ki baat kar rahe hai. isliye jio ke hi plans ke bare me discuss karege. nahi toh aap log yahi sochege ki title me toh jio ke plan btaya hai aur post ke andar na jane kya batane lga. chalo ye sab toh ho gayi mazak ki bate. ab mai seedhe apni post par aata hu aur jio ke is shaandar offer ko btata hu.
How To GET 810 GB Free Data For 14 Months On Your JIO SIM
Toh dosto is data plan ki keemat hai 9999 RS jise aapko apne jio sim me karana hoga. agar abhi tak aapne jio sim me only prime recharge hi kiya hai toh aap is offer ka use kar skte hai. 9999 Rs ka recharge karne se aapko UNLIMTED 4G Data 810 GB(FUP) matlb 810 gb tak bina kisi speed reduce ke use kar skte hai.
Iske sath aap kisi bhi local STD mobile no par free call kar skte hai. ye toh aapko pta hi hai ki jio roming free hai. isliye aapko roaming me koi bhi charge nahi liya jayega.
Aur aap kisi bhi network me aseemit msg bhi kar skte hai.
Ab baat karte hai. ki agar aapne jio prime ka recharge nahi kiya hai toh aapko is plan me kuch loss ho skta hai. bina prime recharge ke aapko 750 GB data milega aur iski validity 360 days ki hogi. toh ab aap samjh skte hai ki prime me hame fayda rahega ya fir bina prime me.
umeed karta hu. ki aaj ki post aapko pasand aayi hogi. agar post pasand aayi ho toh share karna na bhuliyega.
0 Comments
अपनी राय यहाँ पर दे