Hello Dosto! Aaj kal hame sabhi cheejo ko safe rakhna chahiye. bhale hi wo aapka facebook account ho. aaj kal koi bhi aapka facebook account hack kar skte hai. isliye hame apne facebook account ko bhi safe karna chahiye taki koi hamare account ko hack na kar ske. facebook account ko hack hone se kaise bachaye iske kuch tips mai aaj ki post me mai aapko de raha hu. ummed karta hu ki aapko ye pasand bhi aayege.
Facebook sabse jyada popular social networking sites me se ek hai. ya fir yahi samjhe ki poore world me sabse jyada log facebook ka hi istemal karte hai. facebook me users lakho me nahi ballki caroro me hai. lekin kabhi kabhi hamse kuch aisi mistakes ho jati hai. jisse hamara facebook account hack ho jata hai. aur hame kafi pareshaniyon ka samna karna padta hai. toh inhi pareshaniyon se bachne ke liye khas aaj ham aapke liye ye post likh rahe hai.
Sabse pahle ko aapko ye janna hoga. ki hamara facebook account hack kaise ho jata hai. jab tak aap ye nahi janege tab tk aapko safe karne ke tips ko janna bekar hai. isliye sabse pahle ye jante hai ki hamara fb account kaise hack ho skta hai. aur iske baad fir ham safe karne ke tips ko janege. hacker is method se hamara koi bhi account hack kar skta hai. chahe wo aapka twitter account ho ya fir instagram account koi bhi ho wo hack kar skta hai.
To dosto yaha par aapko ham kuch tarike batane ja rahe hai jisse hacker hamare account ko hack kar lete. aapko inhi tariko se bachna hai. matlb isi ko aap apne account ko safe karne ke tips samjh skte hai. toh chaliye dosto ab jaante hai ye tips.
Dosto pichli post meri lifestyle aur LifeHacks categories ki thi., shayad ye post aapne padhi bhi hogi. agar aapne ye post nahi padhi hai toh aap yaha pr click karke ye post ko padh skte hai. ya fir facebook categories ki aur post padhne ke liye aur facebook ki latest trick seekhne ke liye aap yaha par click karke aur posts padh skte hai.
Facebook Account Ko Kaise Safe Kare - Latest Tips
1. Phishing Links
Dosto Phising Links se bhi hamara facebook account hack ho skta hai. isliye aapko aisi links se door rahna chahiye. Phishing links jyadatar hame mail ke jariye milti hai. jisme kabhi kabhi ye bhi likha hota hai ki aapka fb account hack hone wala hai isliye aap apna password ko change kar le. iske baad jab aap is link me click karke apna password change karte hai toh hacker ke pas aapki details pahuch jati hai. i mean aapka user id aur password. jisse wo aapka account hack kar skta hai. isliye soch samjh kar hi kisi link me click karein
2. Strong Password
Aapko hamesha strong password hi set karna chahiye. jisse koi bhi aapka pasword gues na kar ske. ham kabhi kabhi bohat hi easy password set kar dete hai. jise koi bhi badi asani se guess kar skta hai. aise password ko aapke karibi bhi guess kar lete hai. aur aapke account se ched chhad kar skte hai. isliye hamesha strong password banaye. aur time time par apne password ko change karte rahe. strong password banane ke liye Letters ke sath Numbers aur special charecters ka istemal kare jisse aapka koi bhi pasword ka andaja nahi laga skta hai.
3. Fakes App Se Door Rahe
Fb me bohat si fake apps hoti hai. jisme aap fb ke jariye login ho jate hai. aisi apps ke pas apki sari details chali jati hai. aur wo aapka account hack kr skte hai. isliye trusted apps me hi fb se login ho. aisi fake app se hamesha apko carefully rahna chahiye.
4. Don't Share Your Personal Details.
Apni personals details kisi ke sath bhi na share karein. chahe jitna bhi wo aapka kareebi ho. i mean use kabhi bhi fb se related apni details ke bare me na bataye. agar wo aapka password jan gaya toh wo kabhi bhi account ko hack kar skta hai. isliye Dont share your personal details.
5. Browser Me Username Aur Password Sace Me Yes N Kare
Agar aap PC me facebook ka istemal karte hai. aur jab bhi aap login karte hai to usme apka password save ka option aata hai. jisme yes aur no hota hai. toh aap kabhi bhi apna password save na karein. hamesha no kar de.
Conclusion
Dosto Vese agar mai aapko sabhi tips batane lagu toh bohat hi jyada badi post ho jayegi. lekin ye kuch importent tips hai. jisse aap apne fb account ko safe kar skte hai. umeed karta hu aapko ye post pasand aayi hogi aur aap ise aage bhi apne dosto ke shath share karege.
0 Comments
अपनी राय यहाँ पर दे