Aap jisse bhi sunoge wo yahi kahega muje ye problem hai, muje wo problems hai kya aapne kabhi socha hai ki hame Problems ka samna kyu karna padta hai. agar nahi socha hai toh aaj ki post ko padhkar aapke sabhi doubts clear ho jayege. Kuch log to yahi kahte rahte hai ki ab toh problems hamare life ka hissa ho chuki hai. aur problems ki adat bhi bi pad chuki hai.
Aksar jab bhi hamare samne koi problem aati hai. to hamare andar kafi tanav aa jata hai. aur ham vichlit se ho jate hai. bahut hi jyada stress ho jata hai. aur tention feel karte hai. agar aap ye soch rahe hai ki hame hi problems ko kyu face karna padta hai. toh ye interesting article end tak padhte rahiya.
Dosto Maine apni Pichli post me Succesfull life ke kuch tips bataye the. shayad aapne ye post padhi bhi hogi. agar nahi padhi hai toh aap yaha se is post ko read kar skte hai.
जिंदगी में सफलता पाने के Tips - Success Life Tips
Life में हमें Problems का सामना क्यूँ करना पड़ता है
Hamari Life Me Problems Kyu Aati Hai
Aisa koi bhi nahi hai jiski life me kabhi koi problem na aayi. ho problems toh sabhi ko hi aati hai. lekin sabi ka apna apna najariya hota hai. kuch log chhoti se problem me hi bohat preshan ho jate hai. jisse aur problems bad jati hai. aur kuch log aise hote hai. jinko bahut badi problem aane ke baad bhi wo shant rahte hai. aur problem ko solve karne ki kosis karte hai. aise logo ki problem bhi jaldi solve ho jati hai.
Agar ham problems ke baad bhi shaant rahkar samna karege toh problems jaldi solve ho jayegi. kuch log toh hamesha yahi kahte rhte hai. ki hamari hi life me problems kyu aati ha. chahe unhe chhoti si hi problem ho. wo chhoti si hi problme ko bahut bada bana dete hai. aur tention me ho jate hai.
Problems Se Kaise Bahar Aaye
Dosto problems se bahar aane ke liye koi magic nahi hai. lekin fir bi mai aapko kuch bate bata raha hoon jisse aap apni problem ko 80% tk solve kar skte hai.
1. Problem Ke Time Khud Ko Shant Rakhe
Agar aapko koi bhi problem aati hai. toh sabse pahle aapko apne aap ko shant rakhna hai. koi bhi aisi reaction na kre jisse apka man ashant ho jayein. agar achank se koi problme pta chalti hai toh aksar logo ka dimag kaam karna band ho jata hai. toh aapko aisa nahi krna hai. apko pahle khud ko shant karna hai iske baad problem ka solution khojna hai.
2. Apne Aap Par Trust Kare
Khud pr trust rakhna bohat jaruri hota hai. kuch log sochte ki mai ye problems se bahar nahi nikal paunga aur bina soche samjhe hi dusro ki help mangne lgte hai. sabse pahle khud par visvash kare. aur problem ko challange ki tarah le
3. Problems ko Accept Karein
Kuch log problems ko ignore kar dete hai. aur ignore karne se uhne aur badi problems ko face karna pdta hai. isliye problems ko accept karna seekhe. aur problems ke soloution khoje.
Toh dosto kaisa lga aapko ye hamara article. aap comments ke jariye hame apni ray de skte hai.
2 Comments
यदि जिंदगी है तो समस्याएं भी है। इसलिए समस्याओं और परेशानियों से कभी घबराना नहीं चाहिए। बहुत अच्छी पोस्ट है इससे अच्छा मोटीवेशन मिलेगा लोगों को।
ReplyDeleteधन्यवाद जमशेद जी
Deleteअपनी राय यहाँ पर दे